حیدر علی آتش — شاعر کی تصویر

طرہ اسے جو حسن دل آزار نے کیا — حیدر علی آتش

شاعر

تعارف شاعری

طرہ اسے جو حسن دل آزار نے کیا

طرہ اسے جو حسن دل آزار نے کیا
اندھیر گیسوئے سیہ یار نے کیا
گل سے جو سامنا ترے رخسار نے کیا
مژگاں نے وہ کیا کہ جو کچھ خار نے کیا
ناز و ادا کو ترک مرے یار نے کیا
غمزہ نیا یہ ترک ستم گار نے کیا
افشاں سے کشتہ ابروئے خم دار نے کیا
جوہر سے کام یار کی تلوار نے کیا
قامت تری دلیل قیامت کی ہو گئی
کام آفتاب حشر کا رخسار نے کیا
میری نگہ کے رشک سے روزن کو جان دی
رخنہ یہ قصر یار کی دیوار نے کیا
سودائے زلف میں مجھے آیا خیال رخ
مشتاق روشنی کا شب تار نے کیا
حسرت ہی بوسۂ لب شیریں کی رہ گئی
میٹھا نہ منہ کو تیرے نمک خوار نے کیا
فرصت ملی نہ گریہ سے اک لحظہ عشق میں
پانی مرے لہو کو اس آزار نے کیا
سیماب کی طرح سے شگفتہ ہوا مزاج
اکسیر مجھ کو میرے خریدار نے کیا
قد میں تو کر چکا تھا وہ احمق برابری
مجبور سرو کو تری رفتار نے کیا
حیرت سے پا بہ گل ہوئے روزن کو دیکھ کر
دیوار ہم کو یار کی دیوار نے کیا
پتھر کے آگے سجدہ کیا تو نے برہمن
کافر تجھے ترے بت پندار نے کیا
کاوش مژہ نے کی رخ دلبر کی دید میں
پائے نگاہ سے بھی خلش خار نے کیا
عاشق کی طرح میں جو لگا کرنے بندگی
آزاد داغ دے کے خریدار نے کیا
اعجاز کا عجب لب جاں بخش سے نہیں
پیغمبر اس کو مصحف رخسار نے کیا
طرہ کی طرح سے دل عاشق کو پیچ میں
کس کس لپیٹ سے تری دستار نے کیا
آنکھوں کو بند کر کے تصور میں باغ کے
گلشن قفس کو مرغ گرفتار نے کیا
نالاں ہوا میں اس رخ رنگیں کو دیکھ کر
بلبل مجھے نظارۂ گل زار نے کیا
ہکلا کے مجھ سے بات جو اس دل ربا نے کی
کس حسن سے ادا اسے تکرار نے کیا
الٹا ادھر نقاب تو پردے پڑے ادھر
آنکھوں کو بند جلوۂ دیدار نے کیا
لذت کو ترک کر تو ہو دنیا کا رنج دور
پرہیز بھی دوا ہے جو بیمار نے کیا
ناصاف آئینہ ہو تو بد تر ہے سنگ سے
روشن یہ حال ہم کو جلاکار نے کیا
حلقہ کی ناف یار کے تعریف کیا کروں
گول ایسا دائرہ نہیں پرکار نے کیا
دیوان حسن یار کی آتشؔ جو سیر کی
دیوانہ بیت ابروئے خم دار نے کیا

Tarh use jo husn-e-dil-āzār ne kiyā

Tarh use jo husn-e-dil-āzār ne kiyā
Andher gaisoo-e-siyah-e-yār ne kiyā
Gul se jo sāmnā tere rukhsār ne kiyā
Mizhgañ ne wo kiyā ke jo kuchh khār ne kiyā
Nāz-o-adā ko tark mere yār ne kiyā
Ghamza nayā ye tark-e-sitamgār ne kiyā
Afshāñ se kushta-e-abroo-e-khamdār ne kiyā
Jauhar se kām yār ki talwār ne kiyā
Qāmat teri daleel-e-qiyāmat ki ho gaī
Kām āftāb-e-hashr ka rukhsār ne kiyā
Meri nigah ke rashk se rozan ko jaan di
Rakhna ye qasr-e-yār ki deewār ne kiyā
Sauda-e-zulf mein mujhe āyā khayāl-e-rukh
Mushtāq roshni ka shab-e-tār ne kiyā
Hasrat hi bosa-e-lab-e-shīreeñ ki rah gaī
Mīthā na muñh ko tere namak-khwār ne kiyā
Fursat mili na girya se ek lahza ishq mein
Paani mere lahoo ko is āzār ne kiyā
Sīmāb ki tarah se shugufta hua mizāj
Iksīr mujh ko mere kharīdār ne kiyā
Qad mein to kar chukā tha wo ahmaq barābari
Majboor sarv ko teri raftār ne kiyā
Hairat se pā ba gul hue rozan ko dekh kar
Deewār ham ko yār ki deewār ne kiyā
Patthar ke aage sajda kiyā tu ne Brahman
Kāfir tujhe tere but-e-pindār ne kiyā
Kāvash mizha ne ki rukh-e-dilbar ki deeda mein
Pā-e-nigāh se bhi khalish-e-khār ne kiyā
Āshiq ki tarah main jo laga karne bandagi
Āzād daagh de ke kharīdār ne kiyā
I'jāz ka ajab lab-e-jāñ-bakhsh se nahin
Paigham-bar is ko mushaf-e-rukhsār ne kiyā
Tarh ki tarah se dil-e-āshiq ko pech mein
Kis kis lapeT se teri dastaar ne kiyā
Ānkhoñ ko band kar ke tasavvur mein bāgh ke
Gulshan-e-qafas ko murgh-e-giraftār ne kiyā
Nālāñ hua main is rukh-e-rangeeñ ko dekh kar
Bulbul mujhe nazāra-e-gulzār ne kiyā
Haklā ke mujh se baat jo is dilrubā ne ki
Kis husn se adā use takrār ne kiyā
UlTa idhar naqāb to parde paRe udhar
Ānkhoñ ko band jalwa-e-dīdār ne kiyā
Lazzat ko tark kar to ho duniyā ka ranj door
Parhez bhi dawā hai jo bīmār ne kiyā
Nāsāf ā'eena ho to badtar hai sang se
Roshan ye haal ham ko jalā-kār ne kiyā
Halqa ki nāf-e-yār ke ta'reef kya karuñ
Gol aisa dā'ira nahin parkār ne kiyā
Deewān-e-husn-e-yār ki Atish! jo sair ki
Deewāna bait-e-abroo-e-khamdār ne kiyā

شاعر کے بارے میں

حیدر علی آتش

خواجہ حیدر علی آتش اردو کے کلاسیکی دور کے نامور شاعر اور دبستانِ لکھنؤ کے اہم نمائندہ تھے۔ ان کی پیدائش 1778ء (بعض تذکروں کے مطابق 1764ء یا 1767ء) ...

مکمل تعارف پڑھیں

دیگر کلام