اندھیرے کمرے میں بیٹھا ہوں
کہ بھولی بھٹکی کوئی کرن آ کے دیکھ پائے
مگر سدا سے اندھیرے کمرے کی رسم ہے کوئی بھی کرن آ کے دیکھ پائے
بھلا یہ کیوں ہو
کوئی کرن اس کو دیکھ پائے تو اس گھڑی سے
اندھیرا کمرہ اندھیرا نہیں رہے گا
وہ ٹوٹ کر تیرگی کا اک سیل بے کراں بن کے بہہ اٹھے گا
اور اس گھڑی سے اس اجالے کا کوئی مخزن بھی روک پائے بھلا یہ کیوں ہو
ہزار سالوں کے فاصلے سے یہ کہہ رہا ہوں
ہزاروں سالوں کے فاصلے سے مگر کوئی اس کو سن رہا ہے یہ کون جانے
سیاہ بالوں کی تیرگی میں تمہارا ماتھا چمک رہا ہے
تمہاری آنکھوں میں اک کرن ناچ ناچ کر مجھ سے کہہ رہی ہے
کہ میرے ہونٹوں میں ہے وہ امرت
ہزاروں سالوں کے فاصلے سے جو رس رہا ہے
مگر یہ سب سال نور کے سال تو نہیں تیرگی کے بھی سال یہ نہیں ہیں
یہ سال تو فاصلے کی پیچیدہ سلوٹیں ہیں
اندھیرا کمرہ اندھیرا کیوں ہے
تمہارے بالوں کی تیرگی میں نگاہ گم ہے
یہ بند جوڑا جو کھل کے بکھرے تو پھر کرن بھی سنور کے نکھرے
تمہارا ملبوس اک سپیدی پہ دھاریوں سے سجھا رہا ہے
اندھیرے کمرے میں جب کرن آئی تیرگی دھاریاں بنے گی
اور اس کرن سے اندھیرا پل بھر اجالا بن کر پکار اٹھے گا
کہ بھولی بھٹکی یہاں کبھی تیرگی بھی آئے
ہزاروں سالوں کا فاصلہ تیرگی بنا ہے
تمہارے ہونٹوں پہ گیت کے پھول مسکرائے کہ تم نے اپنے لباس کو یوں اتار پھینکا
کہ جیسے راگی نے تان لی ہو
تمہاری ہر تان تیرگی کی سیاہ دھارا بنی ہوئی ہے
کوئی کرن اس سے پھوٹ پائے بھلا یہ کیوں ہو
سیاہ کمرہ تمہاری تانوں سے گونجتا ہے
ہزاروں سالوں سے گونجتا ہے
سیاہ کمرہ تمہارے بالوں کی تیرگی سے چمک رہا ہے
سیاہ کمرہ لباس کی ہر اچھوتی کروٹ سے کہہ رہا ہے
یہاں تم آؤ یہاں کوئی تم کو دیکھ پائے نہیں یہ ممکن
یہاں کرن آئی تو وہ فوراً اندھیرے کمرے میں جا چھپے گی
اور اس پہ دھارا لباس کی یوں بہے گی جیسے
اندھیرا کمرہ اندھیرا کمرہ کبھی نہیں تھا
وہ اک کرن تھی
Andhere kamre mein baiṭhā hūn
Ke bhūlī bhaṭkī koī kiran ā ke dekh pāye
Magar sadā se andhere kamre kī rasm hai koī bhī kiran ā ke dekh pāye
Bhalā ye kyūn ho
Koī kiran us ko dekh pāye to us ghaṛī se
Andherā kamra andherā nahīn rahe gā
Vo ṭūṭ kar tīrgī kā ik sail-e-be-karān ban ke bah uṭhe gā
Aur us ghaṛī se us ujāle kā koī makhzan bhī rok pāye bhalā ye kyūn ho
Hazār sālon ke fāsle se ye keh rahā hūn
Hazāron sālon ke fāsle se magar koī is ko sun rahā hai ye kaun jāne
Siyāh bālon kī tīrgī mein tumhārā māthā chamak rahā hai
Tumhārī āñkhon mein ik kiran nāch nāch kar mujh se keh rahī hai
Ke mere honṭon mein hai vo amrit
Hazāron sālon ke fāsle se jo ras rahā hai
Magar ye sab sāl nūr ke sāl to nahīn tīrgī ke bhī sāl ye nahīn hain
Ye sāl to fāsle kī pechīda silvaṭein hain
Andherā kamra andherā kyūn hai
Tumhāre bālon kī tīrgī mein nigāh gum hai
Ye band joṛā jo khul ke bikhre to phir kiran bhī sanvar ke nikhre
Tumhārā malbūs ik safedī pe dhāriyon se sajhā rahā hai
Andhere kamre mein jab kiran āī tīrgī dhāriyān bane gī
Aur us kiran se andherā pal bhar ujālā ban kar pukār uṭhe gā
Ke bhūlī bhaṭkī yahān kabhī tīrgī bhī āye
Hazāron sālon kā fāsla tīrgī banā hai
Tumhāre honṭon pe gīt ke phūl muskurāye ke tum ne apne libās ko yūn utār pheñkā
Ke jaise rāgī ne tān lī ho
Tumhārī har tān tīrgī kī siyāh dhārā banī huī hai
Koī kiran is se phūṭ pāye bhalā ye kyūn ho
Siyāh kamra tumhārī tānon se gūñjtā hai
Hazāron sālon se gūñjtā hai
Siyāh kamra tumhāre bālon kī tīrgī se chamak rahā hai
Siyāh kamra libās kī har achhūtī karvaṭ se keh rahā hai
Yahān tum āo yahān koī tum ko dekh pāye nahīn ye mumkin
Yahān kiran āī to vo fauran andhere kamre mein jā chhupe gī
Aur is pe dhārā libās kī yūn bahe gī jaise
Andherā kamra andherā kamra kabhī nahīn thā
Vo ik kiran thī
میرا جی اردو ادب کے اُن چند منفرد اور اثر انگیز شعرا میں شمار ہوتے ہیں جنہوں نے بیسویں صدی میں اردو نظم کو ایک بالکل نیا شعور، نیا لہجہ اور نئی فکر...
مکمل تعارف پڑھیں