حسن مہ گرچہ بہ ہنگام کمال اچھا ہے
اس سے میرا مہہ خورشید جمال اچھا ہے
بوسہ دیتے نہیں اور دل پہ ہے ہر لحظہ نگاہ
جی میں کہتے ہیں کہ مفت آئے تو مال اچھا ہے
اور بازار سے لے آئے اگر ٹوٹ گیا
ساغر جم سے مرا جام سفال اچھا ہے
بے طلب دیں تو مزا اس میں سوا ملتا ہے
وہ گدا جس کو نہ ہو خوئے سوال اچھا ہے
ان کے دیکھے سے جو آ جاتی ہے منہ پر رونق
وہ سمجھتے ہیں کہ بیمار کا حال اچھا ہے
دیکھیے پاتے ہیں عشاق بتوں سے کیا فیض
اک برہمن نے کہا ہے کہ یہ سال اچھا ہے
ہم سخن تیشہ نے فرہاد کو شیریں سے کیا
جس طرح کا کہ کسی میں ہو کمال اچھا ہے
قطرہ دریا میں جو مل جاے تو دریا ہو جائے
کام اچھا ہے وہ جس کا کہ مآل اچھا ہے
خضر سلطاں کو رکھے خالق اکبر سرسبز
شاہ کے باغ میں یہ تازہ نہال اچھا ہے
ہم کو معلوم ہے جنت کی حقیقت لیکن
دل کے خوش رکھنے کو غالبؔ یہ خیال اچھا ہے
Husn-e mah garche ba-hangām-e kamāl achchhā hai
Is se merā mah-e KHurshīd-e jamāl achchhā hai
Bosa dete nahīñ aur dil pe hai har lahza nigāh
Jī mein kahte hain ke muft aaye to māl achchhā hai
Aur bāzār se le aaye agar ṭūṭ gayā
Sāġhar-e jam se mirā jām-e sifāl achchhā hai
Be-talab dein to mazā is mein savā miltā hai
Vo gadā jis ko na ho KHū-e savāl achchhā hai
Un ke dekhe se jo aa jātī hai muñh par raunaq
Vo samajhte hain ke bīmār kā hāl achchhā hai
Dekhiye pāte hain ushshāq butoñ se kyā faiz
Ik barahman ne kahā hai ke ye sāl achchhā hai
Ham-suKHan tesha ne Farhād ko Shīrīñ se kiyā
Jis tarah kā ke kisī mein ho kamāl achchhā hai
Qatra daryā mein jo mil jā_e to daryā ho jā_e
Kām achchhā hai vo jis kā ke ma_āl achchhā hai
KHizr Sultān ko rakhe KHāliq-e Akbar sar-sabz
Shāh ke bāġh mein ye tāza nihāl achchhā hai
Ham ko ma'lūm hai jannat kī haqīqat lekin
Dil ke KHush rakhne ko Ghalibؔ ye KHayāl achchhā hai
غالب کا اصل نام اسد اللہ بیگ تھا، وہ 27 دسمبر 1797ء کو آگرہ میں پیدا ہوئے۔ غالب اردو کے ایک منفرد شاعر تھے ان کے بارے میں مشہور تھا کہ وہ زندگی کے...
مکمل تعارف پڑھیں