ہم نے ہی لوٹنے کا ارادہ نہیں کیا
اس نے بھی بھول جانے کا وعدہ نہیں کیا
دکھ اوڑھتے نہیں کبھی جشن طرب میں ہم
ملبوس دل کو تن کا لبادہ نہیں کیا
جو غم ملا ہے بوجھ اٹھایا ہے اس کا خود
سر زیر بار ساغر و بادہ نہیں کیا
کار جہاں ہمیں بھی بہت تھے سفر کی شام
اس نے بھی التفات زیادہ نہیں کیا
آمد پہ تیری عطر و چراغ و سبو نہ ہوں
اتنا بھی بود و باش کو سادہ نہیں کیا
شاعر: پروین شاکر
آواز: انتظار حسین
Ham ne hī lauṭne kā irāda nahīñ kiyā
Us ne bhī bhūl jāne kā va'da nahīñ kiyā
Dukh oṛhte nahīñ kabhī jashn-e-tarab maiñ ham
Malbūs-e-dil ko tan kā libāda nahīñ kiyā
Jo gham milā hai bojh uṭhāyā hai us kā ḳhud
Sar zer-e-bār-e-sāghar-o-bāda nahīñ kiyā
Kār-e-jahāñ hameñ bhī bahut the safar kī shām
Us ne bhī iltifāt ziyāda nahīñ kiyā
Āmad pe terī itr-o-chirāgh-o-sabū na hoñ
Itnā bhī bood-o-bāsh ko sāda nahīñ kiyā