اتنا تو دوستی کا صلہ دیجئے مجھے
اپنا سمجھ کے زہر پلا دیجئے مجھے
اٹھے نہ تاکہ آپ کی جانب نظر کوئی
جتنی بھی تہمتیں ہیں لگا دیجئے مجھے
کیوں آپ کی خوشی کو مرا غم کرے اداس
اک تلخ حادثہ ہوں بھلا دیجئے مجھے
صدق و صفا نے مجھ کو کیا ہے بہت خراب
مکر و ریا ضرور سکھا دیجئے مجھے
میں آپ کے قریب ہی ہوتا ہوں ہر گھڑی
موقع کبھی پڑے تو صدا دیجئے مجھے
ہر چیز دستیاب ہے بازار میں عدمؔ
جھوٹی خوشی خرید کے لا دیجئے مجھے
شاعر: عبدالحمیدعدم
آواز: ندیم بخاری
Itnā to dostī kā sila dījiye mujhe
Apnā samajh ke zehar pilā dījiye mujhe
UThe na tāke āp kī jānib nazar koī
Jitnī bhī tuhmaten hain lagā dījiye mujhe
Kyon āp kī KHushī ko merā gham kare udās
Ik talKH hādisa hoon bhulā dījiye mujhe
Sidq-o-safā ne mujh ko kiyā hai bahut KHarāb
Makr-o-riyā zarūr sikhā dījiye mujhe
Main āp ke qarīb hī hotā hoon har ghaRī
Mauqa' kabhī paRe to sadā dījiye mujhe
Har chīz dastiyāb hai bāzār mein 'Adam'
JhooTī KHushī kharīd ke lā dījiye mujhe