ندیم بخاری — مقرر کی تصویر

یہ ملاقات ملاقات نہیں ہوتی ہے — آواز: ندیم بخاری | شاعر: حفیظ جالندھری

مقرر / سپیکر

تعارف انتخابِ کلام

یہ ملاقات ملاقات نہیں ہوتی ہے

یہ ملاقات ملاقات نہیں ہوتی ہے
بات ہوتی ہے مگر بات نہیں ہوتی ہے
باریابی کا برا ہو کہ اب ان کے در پر
اگلے وقتوں کی مدارات نہیں ہوتی ہے
غم تو گھنگھور گھٹاؤں کی طرح اٹھتے ہیں
ضبط کا دشت ہے برسات نہیں ہوتی ہے
یہ مرا تجربہ ہے حسن کوئی چال چلے
بازیٔ عشق کبھی مات نہیں ہوتی ہے
وصل ہے نام ہم آہنگی و یک رنگی کا
وصل میں کوئی بری بات نہیں ہوتی ہے
ہجر تنہائی ہے سورج ہے سوا نیزے پر
دن ہی رہتا ہے یہاں رات نہیں ہوتی ہے
ضبط گریہ کبھی کرتا ہوں تو فرماتے ہیں
آج کیا بات ہے برسات نہیں ہوتی ہے
مجھے اللہ کی قسم شعر میں تحسین بتاں
میں جو کرتا ہوں میری ذات نہیں ہوتی ہے
فکر تخلیق سخن مسند راحت پہ حفیظ
باعث کشف و کرامات نہیں ہوتی ہے

شاعر:

آواز:

Yeh mulāqāt mulāqāt nahīñ hotī hai

Yeh mulāqāt mulāqāt nahīñ hotī hai
Baat hotī hai magar baat nahīñ hotī hai
Bāryābī kā burā ho ki ab un ke dar par
Agale vaqtoñ kī mudārāt nahīñ hotī hai
Gham to ghunghor ghaṭāoñ kī tarah uṭhte haiñ
Zabt kā dasht hai barsāt nahīñ hotī hai
Yeh mirā tajruba hai husn koī chāl chale
Bāzī-e-ishq kabhī māt nahīñ hotī hai
Vasl hai nām ham-āhangī-o-yak-rangī kā
Vasl meñ koī burī baat nahīñ hotī hai
Hijr tanhāī hai sūraj hai savā neze par
Din hī rahtā hai yahāñ raat nahīñ hotī hai
Zabt-e-girya kabhī kartā hūñ to farmāte haiñ
Aaj kyā baat hai barsāt nahīñ hotī hai
Mujhe Allāh kī qasam sher meñ tahsīn-e-butāñ
Maiñ jo kartā hūñ mirī zāt nahīñ hotī hai
Fikr-e-taḳhlīq-e-suḳhan masnad-e-rāhat pe Hafīzؔ
Bā'is-e-kashf-o-karāmāt nahīñ hotī hai