ابھی تو عشق میں ایسا بھی حال ہونا ہے
کہ اشک روکنا تم سے محال ہونا ہے
ہر ایک لب پہ ہے میری وفا کے افسانے
ترے ستم کو ابھی لا زوال ہونا ہے
بجا کہ خواب ہیں لیکن بہار کی رت میں
یہ طے ہے اب کے ہمیں بھی نہال ہونا ہے
تمہیں خبر ہی نہیں تم تو لوٹ جاؤ گے
تمہارے ہجر میں لمحہ بھی سال ہونا ہے
ہماری روح پہ جب بھی عذاب اتریں گے
تمہاری یاد کو اس دل کو ڈھال ہونا ہے
کبھی تو روئے گا وہ بھی کسی کی بانہوں میں
کبھی تو اس کی ہنسی کو زوال ہونا ہے
ملیں گی ہم کو بھی اپنے نصیب کی خوشیاں
بس انتظار ہے کب یہ کمال ہونا ہے
ہر ایک شخص چلے گا ہماری راہوں پر
محبتوں میں ہمیں وہ مثال ہونا ہے
زمانہ جس کے خم و پیچ میں الجھ جائے
ہماری ذات کو ایسا سوال ہونا ہے
وصیؔ یقین ہے مجھ کو وہ لوٹ آئے گا
اسے بھی اپنے کئے کا ملال ہونا ہے
شاعر: وصی شاہ
آواز: سید جینٹلمین
Abhi to ishq mein aisa bhi haal hona hai
Ke ashk rokna tum se muhal hona hai
Har ek lab pe hai meri wafa ke afsane
Tere sitam ko abhi la-zawal hona hai
Baja ke khwab hain lekin bahar ki rut mein
Yeh tay hai ab ke hamein bhi nihaal hona hai
Tumhein khabar hi nahin tum to laut jaoge
Tumhare hijr mein lamha bhi saal hona hai
Humari rooh pe jab bhi azab utrenge
Tumhari yaad ko is dil ko dhaal hona hai
Kabhi to royega woh bhi kisi ki baanhon mein
Kabhi to us ki hansi ko zawal hona hai
Milenge hum ko bhi apne naseeb ki khushiyan
Bas intezar hai kab yeh kamaal hona hai
Har ek shakhs chalega humari raahon par
Mohabbaton mein hamein woh misaal hona hai
Zamana jis ke kham-o-pech mein ulajh jaaye
Humari zaat ko aisa sawal hona hai
Wasi, yaqeen hai mujh ko woh laut aayega
Usay bhi apne kiye ka malaal hona hai