سید جینٹلمین — مقرر کی تصویر

سفر کی موج میں تھے وقت کے غبار میں تھے — آواز: سید جینٹلمین | شاعر: مجید امجد

مقرر / سپیکر

تعارف انتخابِ کلام

سفر کی موج میں تھے وقت کے غبار میں تھے

سفر کی موج میں تھے وقت کے غبار میں تھے
وہ لوگ جو ابھی اس قریۂ بہار میں تھے
وہ ایک چہرے پہ بکھرے عجب عجب سے خیال
میں سوچتا تو وہ غم میرے اختیار میں تھے
وہ ہونٹ جن میں تھا میٹھی سی ایک پیاس کا رس
میں جانتا تو وہ دریا مرے کنار میں تھے
مجھے خبر بھی نہ تھی اور اتفاق سے کل
میں اس طرف سے جو گزرا وہ انتظار میں تھے
میں کچھ سمجھ نہ سکا میری زندگی کے وہ خواب
ان انکھڑیوں میں جو تیرے تھے کس شمار میں تھے
میں دیکھتا تھا وہ آئے بھی اور چلے بھی گئے
ابھی یہیں تھے ابھی گرد روزگار میں تھے
میں دیکھتا تھا اچانک یہ آسماں یہ کرے
بس ایک پل کو رکے اور پھر مدار میں تھے
ہزار بھیس میں سیار موسموں کے سفیر
تمام عمر مری روح کے دیار میں تھے

شاعر:

آواز:

Safar ki mauj mein the waqt ke ghubaar mein the

Safar ki mauj mein the waqt ke ghubaar mein the
Woh log jo abhi us qarya-e-bahar mein the
Woh ek chehre pe bikhre ajab ajab se khayal
Main sochta to woh gham mere ikhtiyar mein the
Woh honth jin mein tha meethi si ek pyaas ka ras
Main jaanta to woh darya mere kinaar mein the
Mujhe khabar bhi na thi aur ittifaq se kal
Main us taraf se jo guzra woh intezar mein the
Main kuch samajh na saka meri zindagi ke woh khwab
Un ankhadiyon mein jo tere the kis shumaar mein the
Main dekhta tha woh aaye bhi aur chale bhi gaye
Abhi yahin the abhi gard-e-rozgaar mein the
Main dekhta tha achaanak yeh aasmaan yeh kare
Bas ek pal ko ruke aur phir madaar mein the
Hazaar bhes mein saiyaar mausamon ke safeer
Tamaam umar meri rooh ke dayaar mein the