برسوں کے بعد ديکھا اک شخص دلرُبا سا
اب ذہن ميں نہيں ہے پر نام تھا بھلا سا
ابرو کھنچے کھنچے سے آنکھيں جھکی جھکی سی
باتيں رکی رکی سی لہجہ تھکا تھکا سا
الفاظ تھے کہ جگنو آواز کے سفر ميں تھے
بن جائے جنگلوں ميں جس طرح راستہ سا
خوابوں ميں خواب اُسکے يادوں ميں ياد اُسکی
نيندوں ميں گھل گيا ہو جيسے رَتجگا سا
پہلے بھی لوگ آئے کتنے ہی زندگی ميں
وہ ہر طرح سے ليکن اوروں سے تھا جدا سا
اگلی محبتوں نے وہ نا مرادياں ديں
تازہ رفاقتوں سے دل تھا ڈرا ڈرا سا
کچھ يہ کہ مدتوں سے ہم بھی نہيں تھے روئے
کچھ زہر ميں بُجھا تھا احباب کا دلاسا
پھر يوں ہوا کے ساون آنکھوں ميں آ بسے تھے
پھر يوں ہوا کہ جيسے دل بھی تھا آبلہ سا
اب سچ کہيں تو يارو ہم کو خبر نہيں تھی
بن جائے گا قيامت اک واقع ذرا سا
تيور تھے بے رُخی کے انداز دوستی کے
وہ اجنبی تھا ليکن لگتا تھا آشنا سا
ہم دشت تھے کہ دريا ہم زہر تھے کہ امرت
ناحق تھا زعم ہم کو جب وہ نہيں تھا پياسا
ہم نے بھی اُس کو ديکھا کل شام اتفاقا
اپنا بھی حال ہے اب لوگو فراز کا سا
شاعر: احمد فراز
آواز: ثنا سوئٹ
Barsoñ ke ba'ad dekhā ik shakhs dilrubā sā
Ab zehn mein nahīñ hai par nām thā bhalā sā
Abroo khinche khinche se āñkheñ jhukī jhukī sī
Bāteñ rukī rukī sī lahja thakā thakā sā
Alfāz the ki jugnū āwāz ke safar mein the
Ban jāe jangalooñ mein jis tarah rāsta sā
Khwāboñ mein khwāb uske yādoñ mein yaad uskī
Nīndoñ mein ghul gayā ho jaise ratjagā sā
Pehle bhī log āye kitne hī zindagī mein
Vah har tarah se lekin auroñ se thā judā sā
Aglī muhabbatoñ ne vah nā-murādiyāñ dīñ
Tāza rafāqatoñ se dil thā ḍarā ḍarā sā
Kuchh ye ki mudattoñ se ham bhī nahīñ the roye
Kuchh zehr mein bujhā thā ahbāb kā dilāsa
Phir yūñ huā ke sāvan āñkhoñ mein ā base the
Phir yūñ huā ki jaise dil bhī thā ābla sā
Ab sach kaheñ to yāro ham ko khabar nahīñ thī
Ban jāe gā qayāmat ik wāqe'a zarā sā
Tewar the be-ruḳhī ke andāz dostī ke
Vah ajnabī thā lekin lagtā thā āshnā sā
Ham dasht the ki daryā ham zehr the ki amrit
Nā-haq thā za'm ham ko jab vah nahīñ thā pyāsā
Ham ne bhī us ko dekhā kal shām ittifāqan
Apnā bhī hāl hai ab logo Farāz kā sā