چپ کے عالم میں وہ تصویر سی صورت اس کی
بولتی ہے تو بدل جاتی ہے رنگت اس کی
سیڑھیاں چڑھتے اچانک وہ ملی تھی مجھ کو
اس کی آواز میں موجود تھی حیرت اس کی
ہاتھ چھو لوں تو لرز جاتی ہے پتے کی طرح
وہی نا کردہ گناہی پہ ندامت اس کی
کسی ٹھہری ہوئی ساعت کی طرح مہر بہ لب
مجھ سے دیکھی نہیں جاتی یہ اذیت اس کی
آنکھ رکھتے ہو تو اس آنکھ کی تحریر پڑھو
منہ سے اقرار نہ کرنا تو ہے عادت اس کی
خود وہ آغوش کشادہ ہے جزیرے کی طرح
پھیلے دریاؤں کی مانند محبت اس کی
روشنی روح کی آتی ہے مگر چھن چھن کر
سست رو ابر کا ٹکڑا ہے طبیعت اس کی
ہے ابھی لمس کا احساس مرے ہونٹوں پر
ثبت پھیلی ہوئی ہوئی باہوں پہ حرارت اس کی
وہ اگر جا بھی چکی ہے تو نہ آنکھیں کھولو
ابھی محسوس کیے جاؤ رفاقت اس کی
دل دھڑکتا ہے تو وہ آنکھ بلاتی ہے مجھے
سانس آتی ہے تو ملتی ہے بشارت اس کی
وہ کبھی آنکھ بھی جھپکے تو لرز جاتا ہوں
مجھ کو اس سے بھی زیادہ ہے ضرورت اس کی
وہ کہیں جان نہ لے ریت کا ٹیلہ ہوں میں
میرے کاندھوں پہ ہے تعمیر عمارت اس کی
بے طلب جینا بھی شہزادؔ طلب ہے اس کی
زندہ رہنے کی تمنا بھی شرارت اس کی
شاعر: شہزاد احمد
آواز: ثنا سوئٹ
Chup ke aalam mein woh tasveer si soorat us ki
Bolti hai to badal jaati hai rangat us ki
Seedhiyan chadhte achanak woh mili thi mujh ko
Us ki aawaz mein maujood thi hairat us ki
Haath chhu loon to laraz jaati hai patte ki tarah
Wahi na-karda gunaahi pe nadamat us ki
Kisi thehri hui saa'at ki tarah mohar ba-lab
Mujh se dekhi nahin jaati yeh aziyat us ki
Aankh rakhte ho to us aankh ki tehreer padho
Munh se iqraar na karna to hai aadat us ki
Khud woh aaghosh kushada hai jazeere ki tarah
Phaile dariyaon ki manind mohabbat us ki
Roshni rooh ki aati hai magar chhan chhan kar
Sust-rau abr ka tukra hai tabiyat us ki
Hai abhi lams ka ehsaas mere honton par
Sabt phaili hui hui baahon pe haraarat us ki
Woh agar ja bhi chuki hai to na aankhen kholo
Abhi mehsoos kiye jao rafaaqat us ki
Dil dhadakta hai to woh aankh bulaati hai mujhe
Saans aati hai to milti hai bashaarat us ki
Woh kabhi aankh bhi jhapke to laraz jaata hoon
Mujh ko us se bhi zyada hai zaroorat us ki
Woh kaheen jaan na le ret ka teela hoon main
Mere kaandhon pe hai ta'meer imaarat us ki
Be-talab jeena bhi Shehzad talab hai us ki
Zinda rehne ki tamanna bhi shararat us ki