ثنا سوئٹ — مقرر کی تصویر

کلرک کا نغمۂ محبت — آواز: ثنا سوئٹ | شاعر: میراجی

مقرر / سپیکر

تعارف انتخابِ کلام

کلرک کا نغمۂ محبت

سب رات مری سپنوں میں گزر جاتی ہے اور میں سوتا ہوں
پھر صبح کی دیوی آتی ہے
اپنے بستر سے اٹھتا ہوں منہ دھوتا ہوں
لایا تھا کل جو ڈبل روٹی
اس میں سے آدھی کھائی تھی
باقی جو بچی وہ میرا آج کا ناشتہ ہے
دنیا کے رنگ انوکھے ہیں
جو میرے سامنے رہتا ہے اس کے گھر میں گھر والی ہے
اور دائیں پہلو میں اک منزل کا ہے مکاں وہ خالی ہے
اور بائیں جانب اک عیاش ہے جس کے ہاں اک داشتہ ہے
اور ان سب میں اک میں بھی ہوں لیکن بس تو ہی نہیں
ہیں اور تو سب آرام مجھے اک گیسوؤں کی خوشبو ہی نہیں
فارغ ہوتا ہوں ناشتے سے اور اپنے گھر سے نکلتا ہوں
دفتر کی راہ پر چلتا ہوں
رستے میں شہر کی رونق ہے اک تانگہ ہے دو کاریں ہیں
بچے مکتب کو جاتے ہیں اور تانگوں کی کیا بات کہوں
کاریں تو چھچھلتی بجلی ہیں تانگوں کے تیروں کو کیسے سہوں
یہ مانا ان میں شریفوں کے گھر کی دھن دولت ہے مایا ہے
کچھ شوخ بھی ہیں معصوم بھی ہیں
لیکن رستے پر پیدل مجھ سے بد قسمت مغموم بھی ہیں
تانگوں پر برق تبسم ہے
باتوں کا میٹھا ترنم ہے
اکساتا ہے دھیان یہ رہ رہ کر قدرت کے دل میں ترحم ہے
ہر چیز تو ہے موجود یہاں اک تو ہی نہیں اک تو ہی نہیں
اور میری آنکھوں میں رونے کی ہمت ہی نہیں آنسو ہی نہیں
جوں توں رستہ کٹ جاتا ہے اور بندی خانہ آتا ہے
چل کام میں اپنے دل کو لگا یوں کوئی مجھے سمجھاتا ہے
میں دھیرے دھیرے دفتر میں اپنے دل کو لے جاتا ہوں
نادان ہے دل مورکھ بچہ اک اور طرح دے جاتا ہوں
پھر کام کا دریا بہتا ہے اور ہوش مجھے کب رہتا ہے
جب آدھا دن ڈھل جاتا ہے تو گھر سے افسر آتا ہے
اور اپنے کمرے میں مجھ کو چپراسی سے بلواتا ہے
یوں کہتا ہے ووں کہتا ہے لیکن بے کار ہی رہتا ہے
میں اس کی ایسی باتوں سے تھک جاتا ہوں تھک جاتا ہوں
پل بھر کے لیے اپنے کمرے کو فائل لینے آتا ہوں
اور دل میں آگ سلگتی ہے میں بھی جو کوئی افسر ہوتا
اس شہر کی دھول اور گلیوں سے کچھ دور مرا پھر گھر ہوتا
اور تو ہوتی
لیکن میں تو اک منشی ہوں تو اونچے گھر کی رانی ہے
یہ میری پریم کہانی ہے اور دھرتی سے بھی پرانی ہے

شاعر:

آواز:

Clerk Ka Naghma-e-Mohabbat

Sab raat meri sapno mein guzar jaati hai aur main sota hoon
Phir subh ki devi aati hai
Apne bistar se uthta hoon munh dhota hoon
Laaya tha kal jo double roti
Is mein se aadhee khai thi
Baqi jo bachi woh mera aaj ka naashta hai
Duniya ke rang anokhe hain
Jo mere saamne rehta hai us ke ghar mein gharwali hai
Aur daayein pehlu mein ek manzil ka hai makaan woh khaali hai
Aur baayein jaanib ek ayyash hai jis ke haan ek daashta hai
Aur in sab mein ek main bhi hoon lekin bas tu hi nahin
Hain aur to sab aaram mujhe ek gesu'on ki khushboo hi nahin
Faarigh hota hoon naashte se aur apne ghar se nikalta hoon
Daftar ki raah par chalta hoon
Raste mein shahr ki raunaq hai ek taanga hai do kaarein hain
Bachche maktab ko jaate hain aur taangon ki kya baat kahoon
Kaarein to chhachhalti bijli hain taangon ke teeron ko kaise sahoon
Yeh maana in mein sharifon ke ghar ki dhun daulat hai maaya hai
Kuchh shokh bhi hain masoom bhi hain
Lekin raste par paidal mujh se bad-qismat maghmoom bhi hain
Taangon par barq-e-tabassum hai
Baaton ka meetha tarannum hai
Uksaata hai dhyaan yeh rah rah kar qudrat ke dil mein tarahhum hai
Har cheez to hai maujood yahan ek tu hi nahin ek tu hi nahin
Aur meri aankhon mein rone ki himmat hi nahin aansu hi nahin
Jun tun rasta kat jaata hai aur bandi khana aata hai
Chal kaam mein apne dil ko lagaa yun koi mujhe samjhata hai
Main dheere dheere daftar mein apne dil ko le jaata hoon
Naadaan hai dil moorakh bachcha ek aur tarah de jaata hoon
Phir kaam ka darya behta hai aur hosh mujhe kab rehta hai
Jab aadha din dhal jaata hai to ghar se afsar aata hai
Aur apne kamre mein mujh ko chapraasi se bulwaata hai
Yun kehta hai woon kehta hai lekin bekar hi rehta hai
Main us ki aisi baaton se thak jaata hoon thak jaata hoon
Pal bhar ke liye apne kamre ko file lene aata hoon
Aur dil mein aag sulagti hai main bhi jo koi afsar hota
Is shahr ki dhool aur galiyon se kuchh door mera phir ghar hota
Aur tu hoti
Lekin main to ek munshi hoon tu unche ghar ki raani hai
Yeh meri prem kahani hai aur dharti se bhi puraani hai