کوئی پیکر ہے نہ خوشبو ہے نہ آواز ہے وہ
ہاتھ لگتا ہی نہیں۔ ایسا کوئی راز ہے وہ
ایک صورت ہے جو مٹتی ہے بنا کرتی ہے
کبھی انجام ہے میرا، کبھی آغاز ہے وہ
اس کو دنیا میں میری طرح ضرر کیوں پہنچے
میں زمانے کا مخالف ہوں جہاں ساز ہے وہ
لوگ اس کے ہی اشاروں پہ اڑے پھرتے ہیں
بال و پر دیکھے کے ہیں قوتِ پرواز ہے وہ
پتھروں پر بھی جو قدموں کے نشاں ثبت کرے
صاحبِ کشف ہے وہ صاحبِ اعجاز ہے وہ
سوچ کر اس سے ملو وہ میرا ہمزاد سہی
سحر کر دیتا ہے ذہنوں پہ فزوں ساز ہے وہ
اک کھنڈر جس سے کوئی اب تو گزرتا بھی نہیں
اپنے ماضی کے حسیں دور کا غماز ہے وہ
کیوں نہ محسنؔ اسے سینے سے لگائے رکھوں
میرے ہی ٹوٹے ہوئے ساز کی آواز ہے وہ
شاعر: محسن زیدی
آواز: ثنا سوئٹ
Koi paikar hai na khushboo hai na aawaaz hai woh
Haath lagta hi nahin. aisa koi raaz hai woh
Ek soorat hai jo mitti hai bana karti hai
Kabhi anjaam hai mera, kabhi aaghaaz hai woh
Is ko duniya mein meri tarah zarar kyon pohnche
Main zamaane ka mukhaalif hoon jahaan saaz hai woh
Log us ke hi ishaaron pe ude phirte hain
Baal o par dekhe ke hain quwwat e parwaaz hai woh
Pattharon par bhi jo qadmon ke nishaan sabt kare
Saahib e kashf hai woh saahib e e'jaaz hai woh
Soch kar us se milo woh mera humzaad sahi
Sehar kar deta hai zehnon pe fizoon saaz hai woh
Ik khandar jis se koi ab to guzarta bhi nahin
Apne maazi ke haseen daur ka ghammaz hai woh
Kyon na Mohsinؔ use seene se lagaaye rakhoon
Mere hi tootay hue saaz ki aawaaz hai woh