ثنا سوئٹ — مقرر کی تصویر

وہ کہتی ہے، ستارے آنسوؤں میں کیوں چمکتے ہیں؟ — آواز: ثنا سوئٹ | شاعر: فرحت عباس شاہ

مقرر / سپیکر

تعارف انتخابِ کلام

وہ کہتی ہے، ستارے آنسوؤں میں کیوں چمکتے ہیں؟

وہ کہتی ہے، ستارے آنسوؤں میں کیوں چمکتے ہیں؟
میں کہتا ہوں، محبت روشنی میں رنگ بھرتی ہے
وہ کہتی ہے، ہوا کے ہاتھ میں کیا کیا نہیں آتا؟
میں کہتا ہوں، جو دہلیزوں کے اندر دفن ہوتا ہے
وہ کہتی ہے، زمانے کو دلوں سے رنج کیوں کر ہے؟
میں کہتا ہوں، کہ یہ آزار تو صدیوں کی قسمت ہے
وہ کہتی ہے، تمہارے بعد کیوں بارش نہیں ہوتی
میں کہتا ہوں، مری جاں ہجر صحراؤں میں رہتا ہے
وہ کہتی ہے، کہ خوشیوں میں بھی تم تو رونے لگتے ہو
میں کہتا ہوں، مری آنکھوں کو ساون اچھا لگتا ہے
وہ بولی، تم بھی فرحت زندگی سے روٹھ جاؤ گے
میں بولا، ہاں، یا شاید موت مجھ سے مان جائے گی
وہ بولی، تم خوشی کے گیت کو مایوس کرتے ہو
میں بولا، کیا کروں ان مختصر گیتوں کے موسم کا
وہ بولی، تم تو فرحت خود ہی خود سے ہار جاتے ہو
میں بولا، کیا کروں کمزور ہوں اور بے سہارا ہوں
وہ بولی، کیا یہ سب کچھ اتفاقاً ہے تمہارا غم
میں بولا، یہ بھی ممکن ہے یہ سب کچھ احتراماً ہو
محبت میں غموں کی اس قدر یلغار کیوں،۔۔۔بولی!
میں بولا، تم کسی دن یہ تو اپنے آپ سے پوچھو
وہ کہتی ہے، سُنو فرحت! تمہارا خواب کیوں ٹوٹا؟
میں کہتا ہوں، سرابی! دل میں کوئی کھینچ پڑتی تھی
تمہاری شاعری میں زندگی کی سسکیاں کیوں ہیں؟
میں بولا، آنسوؤں کی ابتدائی شکل جو ٹھہری
وہ کہتی ہے، کہ فرحت شاہ! میں کچھ مضطرب سی ہوں
میں کہتا ہوں، سرابی! تم بھی میری روح جیسی ہو
وہ کہتی ہے، تمہیں کیوں خوف آتا ہے ہواؤں سے
میں کہتا ہوں، سرابی! دیپ تو ایسے ہی ہوتے ہیں
وہ کہتی ہے، چلو فرحت!ہوا کے ساتھ چلتے ہیں
میں خاموشی سے اُس کے ساتھ چل دیتا ہوں بجھنے کو
وہ مجھ سے پوچھتی ہے، تم کہاں غائب ہو صدیوں سے
میں کہتا ہوں، ہزاروں وسوسوں کے درمیاں گم ہوں
وہ مجھ سے پوچھتی ہے، رات کی بے چینیاں کیا ہیں؟
میں کہتا ہوں، وہی جو دوریوں کے دل میں ہوتی ہیں
وہ مجھ سے پوچھتی ہے، خوف کا دورانیہ کیا ہے؟
میں کہتا ہوں، جو دل اور غم کا ہوتا ہے مصیبت میں
وہ مجھ سے پوچھتی ہے، بادلوں کی عمر کتنی ہے؟
میں کہتا ہوں، تمازت کے مطابق پانیوں کے وقت جتنی ہے
وہ مجھ سے پوچھتی ہے، رات اتنی بے زباں کیوں ہے؟
میں کہتا ہوں، زباں تو درد کی شدت کی ہوتی ہے
وہ کہتی ہے، یہ خاموشی بھی کچھ تو سوچتی ہو گی
میں کہتا ہوں، وہی جو گفتگو کی بھیڑ میں کھو جائے
وہ کہتی ہے کہ فرحت، کچھ دنوں سے بولتے کم ہو
میں کہتا ہوں، کئی دُکھ بولنے سے روک دیتے ہیں
وہ کہتی ہے، مجھے یہ سوچ کر بتلا میں کیسی ہوں
میں کہتا ہوں سرابی! سوچنے میں وقت لگتا ہے
وہ کہتی ہے، ہجومِ بد روِش سے خوف آتا ہے
میں کہتا ہوں، مجھے اُجڑی ہوئی گلیاں ڈراتی ہیں
وہ کہتی ہے مجھے بے حس زمانے سے شکایت ہے
میں کہتا ہوں کہ یہ شکوہ شکایت رائیگاں ہے سب
وہ بولی ، تم کہاں غائب ہوئے رہتے ہو راتوں کو
میں بولا، میں تو بس آوارہ پھرتا ہوں اداسی میں
وہ بولی، فون بھی اکثر بہت انگیج رکھتے ہو
میں بولا، بے سروپا گھنٹیوں سے خوف آتا ہے
وہ بولی، تم بہت کنجوس ہو خط بھی نہیں لکھتے
میں بولا، خط لکھوں تو شاعری ناراض ہوتی ہے
وہ بولی، تم کبھی ملنے چلے آؤ جو ممکن ہو
میں بولا، یہ تو تم نے میرے دل کی بات ہی کہہ دی
وہ بولی، آج موسم میں عجب سی خوشگواری ہے
میں بولا، ہاں یہ موسم پیار سے ملنے کا موسم ہے
وہ کہتی ہے کہ اب آوارگی سے کچھ نہیں حاصل
مجھے حیرت ہے یہ سب کچھ وہ مجھ بادل سے کہتی ہے
وہ کہتی ہے کہ فرحت! بے ضرر رہنا نہیں اچھا
میں کہتا ہوں، کئی اچھائیاں بس میں نہیں ہوتیں
وہ کہتی ہے مری یادوں سے کیونکر دور رہتے ہو
میں کہتا ہوں، تری پرچھائیاں بس میں نہیں ہوتیں
وہ کہتی ہے، تمہاری کچھ دعا بھی تو کوئی ہو گی
میں کہتا ہوں، جہاں تم ہو، یہ راتیں بھی وہیں ہوتیں
عجب سے معنویت سی پلٹ آتی نظاروں میں
تمہیں ہم دیکھتے بھی اور باتیں بھی وہیں ہوتیں
ستارے دیکھنے آتے مجھے تیری محبت میں
وہ کہتی ہے، ستارے اور سپنے جھوٹ ہوتے ہیں
وہ کہتی ہے کہ اب روؤں تو آنسو چبھنے لگتے ہیں
میں کہتا ہوں، کسی شاعر سے آنکھیں مانگ سکتی ہو
وہ مجھ سے پوچھتی ہے، مضطرب سے لگ رہے ہوکچھ
میں کہتا ہوں کہ دل میں عشق کا مہمان دیکھا ہے
وہ مجھ سے پوچھتی ہے، کیا پریشانی ہے فرحت جی
میں کہتا ہوں ، کہ سارے شہر کو ویران دیکھا ہے

شاعر:

آواز:

Woh Kehti Hai, Sitaare Aansuon Mein Kyun Chamakte Hain?

Woh kehti hai, sitaare aansuon mein kyun chamakte hain?
Main kehta hoon, mohabbat roshni mein rang bharti hai
Woh kehti hai, hawa ke haath mein kya kya nahin aata?
Main kehta hoon, jo dehleezon ke andar dafan hota hai
Woh kehti hai, zamaane ko dilon se ranj kyun kar hai?
Main kehta hoon, ke yeh azaar to sadiyon ki qismat hai
Woh kehti hai, tumhare baad kyun barish nahin hoti
Main kehta hoon, meri jaan hijr sehraon mein rehta hai
Woh kehti hai, ke khushiyon mein bhi tum to rone lagte ho
Main kehta hoon, meri aankhon ko saawan acha lagta hai
Woh boli, tum bhi Farhat zindagi se rooth jaoge
Main bola, haan, ya shayad maut mujh se maan jaye gi
Woh boli, tum khushi ke geet ko mayoos karte ho
Main bola, kya karoon in mukhtasar geeton ke mausam ka
Woh boli, tum to Farhat khud hi khud se haar jaate ho
Main bola, kya karoon kamzor hoon aur be sahara hoon
Woh boli, kya yeh sab kuch ittefaqan hai tumhara gham
Main bola, yeh bhi mumkin hai yeh sab kuch ehteraman ho
Mohabbat mein ghamon ki is qadar yalghar kyun,....boli!
Main bola, tum kisi din yeh to apne aap se poocho
Woh kehti hai, suno Farhat! tumhara khwab kyun toota?
Main kehta hoon, sarabi! dil mein koi kheench padti thi
Tumhari shayari mein zindagi ki siskiyan kyun hain?
Main bola, aansuon ki ibtedai shakal jo thehri
Woh kehti hai, ke Farhat Shah! main kuch muztarib si hoon
Main kehta hoon, sarabi! tum bhi meri rooh jaisi ho
Woh kehti hai, tumhein kyun khauf aata hai hawaon se
Main kehta hoon, sarabi! deep to aise hi hote hain
Woh kehti hai, chalo Farhat! hawa ke saath chalte hain
Main khamoshi se us ke saath chal deta hoon bujhne ko
Woh mujh se poochhti hai, tum kahan ghaib ho sadiyon se
Main kehta hoon, hazaron waswason ke darmiyan gum hoon
Woh mujh se poochhti hai, raat ki bechainiyan kya hain?
Main kehta hoon, wohi jo dooriyon ke dil mein hoti hain
Woh mujh se poochhti hai, khauf ka dauraniya kya hai?
Main kehta hoon, jo dil aur gham ka hota hai museebat mein
Woh mujh se poochhti hai, badalon ki umar kitni hai?
Main kehta hoon, tamazat ke mutabiq paniyon ke waqt jitni hai
Woh mujh se poochhti hai, raat itni bezabaan kyun hai?
Main kehta hoon, zabaan to dard ki shiddat ki hoti hai
Woh kehti hai, yeh khamoshi bhi kuch to sochti hogi
Main kehta hoon, wohi jo guftugu ki bheer mein kho jaye
Woh kehti hai ke Farhat, kuch dinon se bolte kam ho
Main kehta hoon, kayi dukh bolne se rok dete hain
Woh kehti hai, mujhe yeh soch kar batla main kaisi hoon
Main kehta hoon sarabi! sochne mein waqt lagta hai
Woh kehti hai, hujoom-e-bad rawish se khauf aata hai
Main kehta hoon, mujhe ujdi hui galiyan darati hain
Woh kehti hai mujhe behes zamane se shikayat hai
Main kehta hoon ke yeh shikwa shikayat raigaan hai sab
Woh boli , tum kahan ghaib hue rehte ho raaton ko
Main bola, main to bas aawara phirta hoon udasi mein
Woh boli, phone bhi aksar bahut engaged rakhte ho
Main bola, be saropa ghantiyon se khauf aata hai
Woh boli, tum bahut kanjoos ho khat bhi nahin likhte
Main bola, khat likhoon to shayari naraz hoti hai
Woh boli, tum kabhi milne chale aao jo mumkin ho
Main bola, yeh to tum ne mere dil ki baat hi keh di
Woh boli, aaj mausam mein ajab si khushgawari hai
Main bola, haan yeh mausam pyar se milne ka mausam hai
Woh kehti hai ke ab aawaragi se kuch nahin hasil
Mujhe hairat hai yeh sab kuch woh mujh badal se kehti hai
Woh kehti hai ke Farhat! be zarar rehna nahin acha
Main kehta hoon, kayi achhaiyan bas mein nahin hoti
Woh kehti hai meri yaadon se kyunkar door rehte ho
Main kehta hoon, teri parchhaiyan bas mein nahin hoti
Woh kehti hai, tumhari kuch dua bhi to koi hogi
Main kehta hoon, jahan tum ho, yeh raatein bhi wahin hoti
Ajab se maanwiyat si palat aati nazaron mein
Tumhein hum dekhte bhi aur baatein bhi wahin hoti
Sitaare dekhne aate mujhe teri mohabbat mein
Woh kehti hai, sitaare aur sapne jhoot hote hain
Woh kehti hai ke ab ro-un to aansu chubhne lagte hain
Main kehta hoon, kisi shayar se aankhein maang sakti ho
Woh mujh se poochhti hai, muztarib se lag rahe ho kuch
Main kehta hoon ke dil mein ishq ka mehman dekha hai
Woh mujh se poochhti hai, kya pareshani hai Farhat ji
Main kehta hoon, ke saare shahar ko veeran dekha hai