زندگی سے نباہ مشکل ہے
یہ مسلسل گناہ مشکل ہے
ہاں مرے خیر خواہ مشکل ہے
تیرے ہاتھوں پناہ مشکل ہے
دوستی ہی میں دشمنی بھی ہو
یہ نئی رسم و راہ مشکل ہے
ارتکابِ گناہ سہل نہیں
انتخابِ گناہ مشکل ہے
اے مری جان! اے مرے ایمان!
اب ہمارا نباہ مشکل ہے
ہم سے اس مسئلے پہ بات نہ کر
فقر اے بادشاہ مشکل ہے
چاہتا کیا ہے دل؟ یہ آگاہی
گاہ آسان، گاہ مشکل ہے
طور تو دور ہے خود اپنے حضور
فرصتِ یک نگاہ مشکل ہے
ابنِ آدم کو ابنِ آدم سے
قبر میں بھی پناہ مشکل ہے
مرتے رہنا مگر جیے جانا
کس قدر بے پناہ مشکل ہے
ان سے یاری حفیظؔ صاحب جی
یوں بحالِ تباہ مشکل ہے
شاعر: حفیظ جالندھری
آواز: ثنا سوئٹ
Zindagi se nibāh mushkil hai
Yeh musalsal gunāh mushkil hai
Hāñ mire khair-ḳhwāh mushkil hai
Tere hāthoñ panāh mushkil hai
Dostī hī meñ dushmanī bhī ho
Yeh naī rasm-o-rāh mushkil hai
Irtikāb-e-gunāh sahl nahīñ
Intiḳhāb-e-gunāh mushkil hai
Ai mirī jān! Ai mire īmān!
Ab hamārā nibāh mushkil hai
Ham se is mas'ale pe baat na kar
Faqr ai bādshāh mushkil hai
Chāhtā kyā hai dil? Yeh āgahī
Gāh āsān, gāh mushkil hai
Tūr to dūr hai ḳhud apne huzūr
Fursat-e-yak nigāh mushkil hai
Ibn-e-ādam ko ibn-e-ādam se
Qabr meñ bhī panāh mushkil hai
Marte rahnā magar jiye jānā
Kis qadar be-panāh mushkil hai
Un se yārī Hafīzؔ sāhab jī
Yūñ ba-hāl-e-tabāh mushkil hai