اے دوست مٹ گیا ہوں فنا ہو گیا ہوں میں
اس دور دوستی کی دوا ہو گیا ہوں میں
قائم کیا ہے میں نے عدم کے وجود کو
دنیا سمجھ رہی ہے فنا ہو گیا ہوں میں
ہمت بلند تھی مگر افتاد دیکھنا
چپ چاپ آج محو دعا ہو گیا ہوں میں
یہ زندگی فریب مسلسل نہ ہو کہیں
شاید اسیر دام بلا ہو گیا ہوں میں
ہاں کیف بے خودی کی وہ ساعت بھی یاد ہے
محسوس کر رہا تھا خدا ہو گیا ہوں میں
شاعر: حفیظ جالندھری
آواز: یادرفتگان
Ai dost miṭ gayā hūñ fanā ho gayā hūñ maiñ
Is daur-e-dostī kī davā ho gayā hūñ maiñ
Qaa.im kiyā hai maiñ ne adam ke vujūd ko
Duniyā samajh rahī hai fanā ho gayā hūñ maiñ
Himmat buland thī magar uftād dekhnā
Chup-chāp āj mahv-e-du'ā ho gayā hūñ maiñ
Yeh zindagī fareb-e-musalsal na ho kahīñ
Shāyad asīr-e-dām-e-balā ho gayā hūñ maiñ
Hāñ kaif-e-be-ḳhudī kī vo sā'at bhī yaad hai
Mahsūs kar rahā thā ḳhudā ho gayā hūñ maiñ