زمانے میں کوئی برائی نہیں ہے
فقط اک تسلسل کا جھولا رواں ہے
یہ میں کہہ رہا ہوں
میں کوئی برائی نہیں ہوں زمانہ نہیں ہوں تسلسل کا جھولا نہیں ہوں
مجھے کیا خبر کیا برائی میں ہے کیا زمانے میں ہے اور پھر میں تو یہ بھی کہوں گا
کہ جو شے اکیلی رہے اس کی منزل فنا ہی فنا ہے
برائی بھلائی زمانہ تسلسل یہ باتیں بقا کے گھرانے سے آئی ہوئی ہیں
مجھے تو کسی بھی گھرانے سے کوئی تعلق نہیں ہے
میں ہوں ایک اور میں اکیلا ہوں ایک اجنبی ہوں
یہ بستی یہ جنگل یہ بہتے ہوئے رستے اور دریا
یہ پربت اچانک نگاہوں میں آتی ہوئی کوئی اونچی عمارت
یہ اجڑے ہوئے مقبرے اور مرگ مسلسل کی صورت مجاور
یہ ہنستے ہوئے ننھے بچے یہ گاڑی سے ٹکرا کے مرتا ہوا ایک اندھا مسافر
ہوائیں نباتات اور آسماں پر ادھر سے ادھر آتے جاتے ہوئے چند بادل
یہ کیا ہیں
یہی تو زمانہ ہے یہ ایک تسلسل کا جھولا رواں ہے
یہ میں کہہ رہا ہوں
یہ بستی یہ جنگل یہ رستے یہ دریا یہ پربت عمارت مجاور مسافر
ہوائیں نباتات اور آسماں پر ادھر سے ادھر آتے جاتے ہوئے چند بادل
یہ سب کچھ یہ ہر شے مرے ہی گھرانے سے آئی ہوئی ہے
زمانہ ہوں میں میرے ہی دم سے ان مٹ تسلسل کا جھولا رواں ہے
مگر مجھ میں کوئی برائی نہیں ہے
یہ کیسے کہوں میں
کہ مجھ میں فنا اور بقا دونوں آ کر ملے ہیں
شاعر: میراجی
آواز: یادرفتگان
Zamāne mein koī burāī nahīn hai
Faqat ik tasalsul kā jhūlā ravāñ hai
Ye main keh rahā hūn
Main koī burāī nahīn hūn zamāna nahīn hūn tasalsul kā jhūlā nahīn hūn
Mujhe kyā khabar kyā burāī mein hai kyā zamāne mein hai aur phir main to ye bhī kahūn gā
Ke jo shai akelī rahe us kī manzil fanā hī fanā hai
Burāī bhalāī zamāna tasalsul ye bātein baqā ke gharāne se āī huī hain
Mujhe to kisī bhī gharāne se koī taʿalluq nahīn hai
Main hūn ek aur main akelā hūn ek ajnabī hūn
Ye bastī ye jangal ye behte hue raste aur daryā
Ye parbat achānak nigāhon mein ātī huī koī ūnchī imārat
Ye ujṛe hue maqbare aur marg-e-musalsal kī sūrat mujāvir
Ye hanste hue nanhe bacche ye gāṛī se ṭakrā ke martā huā ek andhā musāfir
Hawaain nabātāt aur āsmān par idhar se udhar āte jāte hue chand bādal
Ye kyā hain
Yahī to zamāna hai ye ek tasalsul kā jhūlā ravāñ hai
Ye main keh rahā hūn
Ye bastī ye jangal ye raste ye daryā ye parbat imārat mujāvir musāfir
Hawaain nabātāt aur āsmān par idhar se udhar āte jāte hue chand bādal
Ye sab kuch ye har shai mere hī gharāne se āī huī hai
Zamāna hūn main mere hī dam se un miṭ tasalsul kā jhūlā ravāñ hai
Magar mujh mein koī burāī nahīn hai
Ye kaise kahūn main
Ke mujh mein fanā aur baqā donon ā kar mile hain