میں تیری بستی سے بھاگ کر دور اک خرابے میں آ گیا ہوں
یہ وہ خرابہ ہے جس میں ہستی کی روشنی کا گزر نہیں ہے
یہاں نہ تو ہے نہ رنگ و بو ہے نہ زندگی ہے
یہاں ہے وہ عالم خموشی کہ دل کی دھڑکن بھی بے صدا ہے
کہ میری تنہائیوں کے دامن افق کے دامن سے جا ملے ہیں
ترے نگر کے حسین کوچے شفیق گلیاں جو زیست کی روشنی کا گھر ہیں
مرے لیے میری بے بسی نے انہیں شب آلود کر دیا ہے
وہ رہ گزر تیرے نقش پا پر جہاں ہزار آستاں بنے ہیں
وہ رہ گزر اجنبی ہوئے ہیں
جہاں میں اب ہوں وہاں اگرچہ ہے بے کراں تیرگی فضا میں
مگر یہاں بھی مرے خیالوں میں مہر بن کر ترا سراپا دمک رہا ہے
ہوا کے بے کیف سرد جھونکے جو زرد پتوں سے کھیلتے ہیں
تو میری بے آب خشک آنکھیں تجھے خلاؤں میں ڈھونڈھتی ہیں
مرا تخیل کہ اس خرابے سے بد گماں ہے
مرے جنوں کو جھنجھوڑتا ہے تو سوچتا ہوں
اگرچہ تو ایک وہ حقیقت ہے جس کا اقرار لا بدی ہے
مگر یہ تیرا وجود میرے لیے فقط ایک واہمہ ہے
کہ تیری زلفوں کو میرے شانوں نے اپنی دنیا سے دور پایا
کہ میرے اشکوں کو تیرے دامن کی آرزو ہی رہی ہمیشہ
مگر یہ خوش تھا
کہ میرے غم نے ترے تخیل میں وہ ستارے سے بھر دئے تھے
چراغ جن کے نہ بجھ سکے ہیں نہ بجھ سکیں گے
یہ سب تھا لیکن جنوں پہ کچھ ایسی قدغنیں تھیں
کہ جذب دل حرف مدعا کو نہ پا سکا تھا
کبھی کوئی درد لفظ بن کر مری زباں پر نہ آ سکا تھا
مگر نہ جانے وہ کیا تھا جس نے دلوں کے پردے اٹھا دئے تھے
جنوں کے اسرار واقعے تھے
تہی زباں ہم ہوئے تھے لیکن زباں کے محتاج کب رہے تھے
کہ ہم نگاہوں سے دل کے پیغام بھیجتے تھے
یہ سب تھا لیکن میں کرب جاں سوز کا امیں تھا
وہ کرب جاں سوز تھا کہ میری حیات سے نیند بد گماں تھی
اور اس خرابے میں جس میں ہستی کی روشنی کا گزر نہیں ہے
جہاں نہ تو ہے نہ رنگ و بو ہے نہ زندگی ہے
مرا گماں تھا یہاں تجھے خود سے دور پا کر میں کرب سے جاں بچا سکوں گا
تجھے کبھی تو دماغ و دل سے ہٹا سکوں گا
تجھے کبھی تو بھلا سکوں گا
مگر یہ اک اور واہمہ تھا
قیامتیں سوز درد دل میں نہاں وہی ہیں
عبث غم زندگی سے میں نے فرار چاہا
اسی طرح کرب جاں گزا سے میں اب بھی آتش بجا ہوں ہر دم
کہ اب ترا شہر چھوڑنے کا اک اور غم ہے
اگرچہ تیرا وجود میرے لیے فقط ایک واہمہ تھا
اگرچہ تیرا وجود میرے لیے فقط ایک واہمہ ہے
مگر ترا پیکر مثالی مرے خیالوں میں جاگزیں ہے
کہ وہ کسی دل کشا حقیقت کا بھی امیں ہے
اور اس سے مجھ کو مفر نہیں ہے
میں سوچتا ہوں کہ اس خرابے سے لوٹ جاؤں
جہاں نہ تو ہے نہ رنگ و بو ہے نہ زندگی ہے
جہاں مجھے آج یہ بھی غم ہے
کہ میں نے شہر حبیب چھوڑا
وفا سے میں نے وفا نہیں کی
میں سوچتا ہوں کہ اس خرابے سے لوٹ جاؤں
وہیں جہاں میں نے زندگی کا سکون ڈھونڈا
مگر نہ پایا
وہیں جہاں میں نے روشنی کے سراب دیکھے
حقیقتوں پر نقاب دیکھے
وہیں جہاں میں نے راحتوں کے حباب دیکھے
وہیں ملے گا سکوں اگر مجھ کو زندگی میں کہیں ملے گا
مگر یہ اک خوف میرا دامن اسی خرابے سے باندھتا ہے
کہ اس جگہ پھر اگر جنوں نے سکوں نہ پایا تو کیا کروں گا
شاعر: عرش صدیقی
آواز: ایمان
Maiñ terī bastī se bhāg kar duur ek kharābe meñ aa gayā hūñ
Ye vo kharāba hai jis meñ hastī kī raushnī kā guzar nahīñ hai
Yahāñ na tū hai na rang o bū hai na zindagī hai
Yahāñ hai vo ālam-e-khāmoshī ki dil kī dhaṛkan bhī be-sadā hai
Ki merī tanhāiyoñ ke dāman-e-ufaq ke dāman se jā mile haiñ
Tere nagar ke hasīn kūche, shafīq galiyāñ jo zīst kī raushnī kā ghar haiñ
Mere liye merī be-basī ne unheñ shab-ālūd kar diyā hai
Vo rahguzar tere naqsh-e-pā par jahāñ hazār āstāñ bane haiñ
Vo rahguzar ajnabī hue haiñ
Jahāñ maiñ ab hūñ vahāñ agarche hai be-karāñ tīragī fazā meñ
Magar yahāñ bhī mere khayāloñ meñ mehar ban kar terā sarāpā damak rahā hai
Havā ke be-kaif sard jhauñke jo zard pattoñ se khelte haiñ
To merī be-āb khushk āñkheñ tujhe khalāoñ meñ ḍhūñḍhtī hain
Merā takhayyul ki is kharābe se bad-gumāñ hai
Mere junūñ ko jhinjhoṛtā hai to sochtā hūñ
Agarche tū ek vo haqīqat hai jis kā iqrār lā-buddī hai
Magar ye terā wujūd mere liye faqat ek wāhima hai
Ki terī zulfon ko mere shānoñ ne apnī duniyā se duur pāyā
Ki mere ashkoñ ko tere dāman kī ārzū hī rahī hamesha
Magar ye khush thā
Ki mere gham ne tere takhayyul meñ vo sitāre se bhar diye the
Chirāgh jin ke na bujh sake haiñ na bujh sakeñge
Ye sab thā lekin junūñ pe kuchh aisī qadghaneñ thīñ
Ki jazb-e-dil harf-e-mudd'a ko na pā sakā thā
Kabhī koī dard lafz ban kar mirī zabāñ par na aa sakā thā
Magar na jāne vo kyā thā jis ne diloñ ke parde uṭhā diye the
Junūñ ke asrār wāqe'e the
Tahī-zabāñ ham hue the lekin zabāñ ke muhtāj kab rahe the
Ki ham nigāhoñ se dil ke paighām bhejte the
Ye sab thā lekin maiñ karb-e-jāñ-soz kā amīñ thā
Vo karb-e-jāñ-soz thā ki merī hayāt se nīnd bad-gumāñ thī
Aur is kharābe meñ jis meñ hastī kī raushnī kā guzar nahīñ hai
Jahāñ na tū hai na rang o bū hai na zindagī hai
Merā gumāñ thā yahāñ tujhe khud se duur pā kar maiñ karb se jāñ bachā sakūñgā
Tujhe kabhī to dimāgh o dil se haṭā sakūñgā
Tujhe kabhī to bhulā sakūñgā
Magar ye ek aur wāhima thā
Qayāmateñ soz-e-dard-e-dil meñ nihāñ vahīñ haiñ
Abas gham-e-zindagī se maiñ ne farār chāhā
Isī tarah karb-e-jāñ-gazā se maiñ ab bhī ātish-ba-jā hūñ har dam
Ki ab terā shahr chhoṛne kā ek aur gham hai
Agarche terā wujūd mere liye faqat ek wāhima thā
Agarche terā wujūd mere liye faqat ek wāhima hai
Magar terā paikar-e-misālī mere khayāloñ meñ jā-gazīñ hai
Ki vo kisī dil-kushā haqīqat kā bhī amīñ hai
Aur is se mujh ko mafar nahīñ hai
Maiñ sochtā hūñ ki is kharābe se lauṭ jā.ūñ
Jahāñ na tū hai na rang o bū hai na zindagī hai
Jahāñ mujhe āj ye bhī gham hai
Ki maiñ ne shahr-e-habīb chhoṛā
Vafā se maiñ ne vafā nahīñ kī
Maiñ sochtā hūñ ki is kharābe se lauṭ jā.ūñ
Wahīñ jahāñ maiñ ne zindagī kā sukūn ḍhūñḍā
Magar na pāyā
Wahīñ jahāñ maiñ ne raushnī ke sarāb dekhe
Haqīqatoñ par naqāb dekhe
Wahīñ jahāñ maiñ ne rāhatoñ ke habāb dekhe
Wahīñ milegā sukūñ agar mujh ko zindagī meñ kahīñ milegā
Magar ye ek khauf merā dāman isī kharābe se bāñdhtā hai
Ki is jagah phir agar junūñ ne sukūñ na pāyā to kyā karūñgā