نذرانہ
تم پریشان نہ ہو، بابِ کرم وا نہ کرو
اور کچھ دیر پکاروں گا چلا جاؤں گا
اسی کوچے میں جہاں چاند اگا کرتے ہیں
شبِ تاریک گزاروں گا، چلا جاؤں گا
راستہ بھول گیا، یا یہی منزل ہے مری
کوئی لایا ہے کہ خود آیا ہوں معلوم نہیں
کہتے ہیں حسن کی نظریں بھی حسیں ہوتی ہیں
میں بھی کچھ لایا ہوں، کیا لایا ہوں معلوم نہیں
یوں تو جو کچھ تھا مرے پاس میں سب بیچ آیا
کہیں انعام ملا، اور کہیں قیمت بھی نہیں
کچھ تمہارے لیے آنکھوں میں چھپا رکھا ہے
دیکھ لو اور نہ دیکھو تو شکایت بھی نہیں
ایک تو اتنی حسیں دوسرے یہ آرائش
جو نظر پڑتی ہے چہرے پہ ٹھہر جاتی ہے
مسکرا دیتی ہو رسماً بھی اگر محفل میں
اک دھنک ٹوٹ کے سینوں میں بکھر جاتی ہے
گرم بوسوں سے تراشا ہوا نازک پیکر
جس کی اک آنچ سے ہر روح پگھل جاتی ہے
میں نے سوچا ہے کہ سب سوچتے ہوں گے شاید
پیاس اس طرح بھی کیا سانچے میں ڈھل جاتی ہے
کیا کمی ہے جو کرو گی مرا نذرانہ قبول
چاہنے والے بہت، چاہ کے افسانے بہت
ایک ہی رات سہی گرمیٔ ہنگامۂ عشق
ایک ہی رات میں جل مرتے ہیں پروانے بہت
پھر بھی اک رات میں سو طرح کے موڑ آتے ہیں
کاش تم کو کبھی تنہائی کا احساس نہ ہو
کاش ایسا نہ ہو گھیرے رہے دنیا تم کو
اور اس طرح کہ جس طرح کوئی پاس نہ ہو
آج کی رات جو میری ہی طرح تنہا ہے
میں کسی طرح گزاروں گا چلا جاؤں گا
تم پریشان نہ ہو، بابِ کرم وا نہ کرو
اور کچھ دیر پکاروں گا چلا جاؤں گا
شاعر: کیفی اعظمی
آواز: ایمان
Nazrāna
Tum pareshān na ho, bāb-e-karam wā na karo
Aur kuchh der pukārūñgā chalā jāūñgā
Isī kūche meñ jahāñ chāñd ugā karte haiñ
Shab-e-tārīk guzārūñgā, chalā jāūñgā
Rāsta bhool gayā, yā yahī manzil hai mirī
Koī lāyā hai ki ḳhud āyā hūñ ma'lūm nahīñ
Kahte haiñ husn kī nazreñ bhī hasīñ hotī haiñ
Maiñ bhī kuchh lāyā hūñ, kyā lāyā hūñ ma'lūm nahīñ
Yūñ to jo kuchh thā mire pās maiñ sab bech āyā
Kahīñ in'ām milā, aur kahīñ qīmat bhī nahīñ
Kuchh tumhāre liye āñkhoñ meñ chhupā rakhā hai
Dekh lo aur na dekho to shikāyat bhī nahīñ
Ek to itnī hasīñ dūsre ye ārā.ish
Jo nazar paṛtī hai chehre pe Thahar jātī hai
Muskurā detī ho rasmāñ bhī agar mahfil meñ
Ik dhanak ṭūṭ ke sīnoñ meñ bikhar jātī hai
Garm bosoñ se tarāshā huā nāzuk paikar
Jis kī ik āñch se har rūh pighal jātī hai
Maiñ ne sochā hai ki sab sochte hoñge shāyad
Pyās is tarah bhī kyā sāñche meñ ḍhal jātī hai
Kyā kamī hai jo karogī mirā nazrāna qabūl
Chāhne vāle bahut, chāh ke afsāne bahut
Ek hī raat sahī garmī-e-hangāma-e-ishq
Ek hī raat meñ jal marte haiñ parvāne bahut
Phir bhī ik raat meñ sau tarah ke moṛ aate haiñ
Kāsh tum ko kabhī tanhāī kā ehsās na ho
Kāsh aisā na ho ghere rahe duniyā tum ko
Aur is tarah ki jis tarah koī pās na ho
Aaj kī raat jo merī hī tarah tanhā hai
Maiñ kisī tarah guzārūñgā chalā jāūñgā
Tum pareshān na ho, bāb-e-karam wā na karo
Aur kuchh der pukārūñgā chalā jāūñgā