تمہیں معلوم ہے تیمور کی فوجیں جس وقت
اپنے دشمن پہ بڑھا کرتی تھیں
عورتیں پیچھے رہا کرتی تھیں
اور جو عالم تھے فاضل تھے ان انسانوں کا جرگہ سب کے
پیچھے پیچھے ہی چلا کرتا تھا
کس لیے سب کو رہ زیست پہ ہر گام بڑھانے والے
سب سے پیچھے ہی چلا کرتے ہیں
علم میں ایک ہی بنیادی کمی ہے ورنہ
علم ہر ایک زمانے میں ہر ایک شے سے ترقی پاتا
آج اقبال یہ کہتا ہے کہ عورت ہی کا شعلہ وہ جس سے یونان
حشر تک علم فلاطون سے رہے گا زندہ
آج اسکول میں کالج میں مقام اول
عورتوں کے لیے مخصوص کیے جاتے ہیں
آج انگریزی پڑھی جاتی ہے جغرافیہ تاریخ ہر اک علم یہاں
ایسے استاد سکھاتا ہے کہ جیسے ہم کو
یہی معلوم نہیں ہے کہ جو عالم تھے جو فاضل تھے ان انسانوں کا جرگہ سب سے
پیچھے پیچھے ہی بڑھا کرتا تھا
عورتیں ان سے ذرا آگے رہا کرتی تھیں
عورتیں آج بھی آگے ہی رہا کرتی ہیں
عورتیں آج بھی کہتی ہیں ہمارے گیسو
چاہے بکھرے ہوں کہ ایک جوڑے میں پابند کیے بیٹھے ہوں
دیکھنے والوں کی ناکام تمناؤں کو
ایک ہی ہاتھ کے پابند ہوا کرتے ہیں
وہی اک ہاتھ جو تلوار کو پہلو میں لیے
سب سے آگے ہی چلا کرتا ہے
اس کو کچھ علم کی پرواہ نہیں (عورت کی بھی پرواہ کیا ہے)
اس کو کچھ علم نہیں کیسے فلاطوں پل میں
اک شرر بن کے بجھا کرتا ہے
سامنے تو ہے مگر تیرا منور چہرہ
اسی جاہل کو نظر آتا ہے
جو یہ کہتا ہے کہ تیمور کی فوجیں جس وقت
اپنے دشمن پہ بڑھا کرتی تھیں
عورتیں پیچھے رہا کرتی تھیں
اور جو عالم تھے جو فاضل تھے وہ یہ سوچتے تھے
ہار کس شخص کی ہے جیت ہے کس کی چھوڑو
ہم بھی کن چھوٹی سی باتوں میں الجھ بیٹھے ہیں
چلتے چلتے مجھے تیزی سے خیال آیا ہے
تیرا یہ جوڑا جو کھل جائے بکھر جائے تو پھر کیا ہوگا
میری تاریخ کہ تیری تاریخ
پھیل کر آج پہ (اور کل پہ بھی) چھا جائے گی
سوچنے والے کو اک پل میں بتا جائے گی
عورتیں پیچھے اگر ہوں بھی تو آگے ہی رہا کرتی ہیں
اور فلاطوں کا چچا ہاتھ میں تلوار لیے آگے بڑھا کرتا ہے
لو وہ جوڑا بھی فلاطوں ہی سے کچھ کہنے لگا
اور رستے میں اسے کون ملے گا تیمور
اور وہ اس سے کہے گا کہ یہاں کیوں آئی
جا مرے پیچھے چلی جا کہ ترے پیچھے ہمیشہ ہر دم
علم یوں رینگتے ہی رینگتے بڑھتا جائے
جیسے ہر بات کے پیچھے ہر بات
رینگتے رینگتے بڑھتی ہی چلی جاتی ہے
اور ہر ایک فلاطوں جو شرر بن کے چمکتا ہے وہ مٹ جاتا ہے
شاعر: میراجی
آواز: ایمان
Tumhein maʿlūm hai Taimūr kī faujein jis vaqt
Apne dushman pe baṛhā kartī thīn
Auratein pīchhe rahā kartī thīn
Aur jo ʿālim the fāzil the un insānon kā jargah sab ke
Pīchhe pīchhe hī chalā kartā thā
Kis liye sab ko rah-e-zīst pe har gām baṛhāne vāle
Sab se pīchhe hī chalā karte hain
ʿIlm mein ek hī bunyādī kamī hai varna
ʿIlm har ek zamāne mein har ek shai se taraqqī pātā
Āj Iqbāl ye kahtā hai ke aurat hī kā shoʿla vo jis se Yūnān
Hashr tak ʿilm-e-Aflātūn se rahe gā zinda
Āj iskūl mein kālij mein maqām-e-avval
Auratōn ke liye makhṣūs kiye jāte hain
Āj Angrezī paṛhī jātī hai jughrāfiya tārīkh har ek ʿilm yahān
Aise ustād sikhātā hai ke jaise ham ko
Yahī maʿlūm nahīn hai ke jo ʿālim the jo fāzil the un insānon kā jargah sab se
Pīchhe pīchhe hī baṛhā kartā thā
Auratein un se zarā āge rahā kartī thīn
Auratein āj bhī āge hī rahā kartī hain
Auratein āj bhī kahtī hain hamāre gesū
Chāhe bikhre hūn ke ek joṛe mein pāband kiye baiṭhe hūn
Dekhne vālon kī nākām tamannāon ko
Ek hī hāth ke pāband huā karte hain
Vahī ik hāth jo talvār ko pahlu mein liye
Sab se āge hī chalā kartā hai
Is ko kuch ʿilm kī parvāh nahīn (aurat kī bhī parvāh kyā hai)
Is ko kuch ʿilm nahīn kaise Aflātūn pal mein
Ik sharar ban ke bujhā kartā hai
Sāmne to hai magar terā munavvar chehra
Isī jāhil ko nazar ātā hai
Jo ye kahtā hai ke Taimūr kī faujein jis vaqt
Apne dushman pe baṛhā kartī thīn
Auratein pīchhe rahā kartī thīn
Aur jo ʿālim the jo fāzil the vo ye sochte the
Hār kis shakhṣ kī hai jīt hai kis kī choṛo
Ham bhī kin chhoṭī sī bāton mein ulajh baiṭhe hain
Chalte chalte mujhe tezī se khayāl āyā hai
Terā ye joṛā jo khul jāye bikhar jāye to phir kyā hogā
Merī tārīkh ke terī tārīkh
Phail kar āj pe (aur kal pe bhī) chhā jāye gī
Sochne vāle ko ik pal mein batā jāye gī
Auratein pīchhe agar hūn bhī to āge hī rahā kartī hain
Aur Aflātūn kā chachā hāth mein talvār liye āge baṛhā kartā hai
Lo vo joṛā bhī Aflātūn hī se kuch kahne lagā
Aur raste mein use kaun mile gā Taimūr
Aur vo us se kahe gā ke yahān kyūn āī
Jā mere pīchhe chalī jā ke tere pīchhe hamesha har dam
ʿIlm yūn rīngte hī rīngte baṛhtā jāye
Jaise har bāt ke pīchhe har bāt
Rīngte rīngte baṛhtī hī chalī jātī hai
Aur har ek Aflātūn jo sharar ban ke chamaktā hai vo miṭ jātā hai