فراق یار نے بے چین مجھ کو رات بھر رکھا
کبھی تکیہ ادھر رکھا کبھی تکیہ ادھر رکھا
شکست دل کا باقی ہم نے غربت میں اثر رکھا
لکھا اہل وطن کو خط تو اک گوشہ کتر رکھا
برابر آئینے کے بھی نہ سمجھے قدر وہ دل کی
اسے زیر قدم رکھا اسے پیش نظر رکھا
مٹائے دیدہ و دل دونوں میرے اشک خونیں نے
عجب یہ طفل ابتر تھا نہ گھر رکھا نہ در رکھا
تمہارے سنگ در کا ایک ٹکڑا بھی جو ہاتھ آیا
عزیز ایسا کیا مر کر اسے چھاتی پہ دھر رکھا
جناں میں ساتھ اپنے کیوں نہ لے جاؤں گا ناصح کو
سلوک ایسا ہی میرے ساتھ ہے حضرت نے کر رکھا
نہ کی کس نے سفارش میری وقت قتل قاتل سے
کماں نے ہاتھ جوڑے تیغ نے قدموں پہ سر رکھا
غضب برسے وہ میرے آتے ہی معلوم ہوتا ہے
جگہ خالی جو پائی یار کو غیروں نے بھر رکھا
بڑا احساں ہے میرے سر پہ اس کی لغزش پا کا
کہ اس نے بے تحاشا ہاتھ میرے دوش پر رکھا
زمیں میں دانۂ گندم صدف میں ہم ہوے گوہر
ہمارے عجز نے ہر معرکہ میں ہم کو در رکھا
ترے ہر نقش پا کو رہ گزر میں سجدہ گہ سمجھے
جہاں تو نے قدم رکھا وہاں میں نے بھی سر رکھا
امیر اچھا شگون مے کیا ساقی کی فرقت میں
جو برسا ابر رحمت جائے مے شیشوں میں بھر رکھا
شاعر: امیر مینائی
آواز: امل خان
Firāq-e-yār ne bechain mujh ko raat bhar rakhā
Kabhī takiya idhar rakhā kabhī takiya udhar rakhā
Shikast-e-dil kā bāqī ham ne ghurbat mein asar rakhā
Likhā ahl-e-vatan ko khaṭ to ik gosha katar rakhā
Barābar ā'īne ke bhī na samjhe qadr vo dil kī
Use zer-e-qadam rakhā use pesh-e-nazar rakhā
Miṭāe dīda-o-dil donoñ mere ashk-e-khūnīñ ne
Ajab ye tifl-e-abtar thā na ghar rakhā na dar rakhā
Tumhāre sang-e-dar kā ek ṭukṛā bhī jo hāth āyā
Azīz aisā kiyā mar kar use chhātī pe dhar rakhā
Jināñ mein sāth apne kyuuñ na le jā'ūñgā nāseh ko
Sulūk aisā hī mere sāth hai hazrat ne kar rakhā
Na kī kis ne sifārish merī vaqt-e-qatl-e-qātil se
Kamāñ ne hāth joṛe tegh ne qadmoñ pe sar rakhā
Ghazab barse vo mere aate hī ma'lūm hotā hai
Jaga khālī jo pā'ī yār ko ghairōñ ne bhar rakhā
Baṛā ehsān hai mere sar pe us kī laghzish-e-pā kā
Ki us ne be-tahāshā hāth mere dosh par rakhā
Zamīñ mein dāna-e-gandum sadaf mein ham hu'e gauhar
Hamāre 'ajz ne har ma'rika mein ham ko dar rakhā
Tere har naqsh-e-pā ko rahguzar mein sajda-gah samjhe
Jahāñ tū ne qadam rakhā vahāñ maiñ ne bhī sar rakhā
Amīrؔ! achhā shugūn-e-mai kyā sāqī kī furqat mein
Jo barsā abr-e-rahmat jā'e-mai shīshoñ mein bhar rakhā