امل خان — مقرر کی تصویر

معاف کر مری مستی خدائے عز و جل — آواز: امل خان | شاعر: احمد فراز

مقرر / سپیکر

تعارف انتخابِ کلام

معاف کر مری مستی خدائے عز و جل

معاف کر مری مستی خدائے عز و جل
کہ میرے ہاتھ میں ساغر ہے میرے لب پہ غزل
کریم ہے تو مری لغزشوں کو پیار سے دیکھ
رحیم ہے تو سزا و جزا کی حد سے نکل
ہے دوستی تو مجھے اذن میزبانی دے
تو آسماں سے اتر اور مری زمین پہ چل
میں پا بہ گل ہوں مگر چھو چکا منارۂ عرش
سو تو بھی دیکھ یہ خاک و خشارہ و جنگل
بہت عزیز ہے مجھ کو یہ خاکداں میرا
یہ کوہسار یہ قلزم یہ دشت یہ دلدل
مرے جہاں میں زمان و مکان و لیل و نہار
ترے جہاں میں ازل ہے ابد نہ آج نہ کل
مرے لہو میں ہے برق تپاں کا جذب و گریز
ترے سبو میں مئے زندگی نہ زہر اجل
تری بہشت ہے دشت جمود و بہر سکوت
مری سرشت ہے آشوب ذات سے بیکل
تو اپنے عرش پہ شاداں ہے سو خوشی تیری
میں اپنے فرش پہ نازاں ہوں اے نگار ازل
مجھے نہ جنت گم گشتہ کی بشارت دے
کہ مجھ کو یاد ابھی تک ہے ہجرت اول
ترے کرم سے یہاں بھی مجھے میسر ہے
جو زاہدوں کی عبادت میں ڈالتا ہے خلل
وہ سیر چشم ہوں میرے لیے ہے بے وقعت
جمال حور و شراب طہور و شیر و عسل
گناہ گار تو ہوں پر نہ اس قدر کہ مجھے
صلیب روز مکافات کی لگے بوجھل
کہیں کہیں کوئی لالہ کہیں کہیں کوئی داغ
مری بیاض کی صورت ہے میری فرد عمل
وہ تو کہ عقدہ کشا و مسبب الاسباب
یہ میں کہ آپ معمہ ہوں آپ اپنا ہی حل
میں آپ اپنا ہی ہابیل اپنا ہی قابیل
مری ہی ذات ہے مقتول و قاتل و مقتل
برس برس کی طرح تھا نفس نفس میرا
صدی صدی کی طرح کاٹتا رہا پل پل
ترا وجود ہے لا ریب اشرف و اعلیٰ
جو سچ کہوں تو نہیں میں بھی ارذل و اسفل
یہ واقعہ ہے کہ شاعر وہ دیکھ سکتا ہے
رہے جو تیرے فرشتوں کی آنکھ سے اوجھل
وہ پرفشاں ہیں مگر غول شپرک کی طرح
سو رائیگاں ہیں کہ جوں چشم کور میں کاجل
مرے لیے تو ہے سو بخششوں کی اک بخشش
قلم جو افسر و طبل و علم سے ہے افضل
یہی قلم ہے کہ جس کی ستارہ سازی سے
دلوں میں جوت جگاتی ہے عشق کی مشعل
یہی قلم ہے جو دکھ کی رتوں میں بخشتا ہے
دلوں کو پیار کا مرہم سکون کا صندل
یہی قلم ہے کہ اعجاز حرف سے جس کے
تمام عشوہ طرازان شہر ہیں پاگل
یہی قلم ہے کہ جس نے مجھے یہ درس دیا
کہ سنگ و خشت کی زد پر رہیں گے شیش محل
یہی قلم ہے کہ جس کی سریر کے آگے
ہیں سرمہ در گلو خونخوار لشکروں کے بگل
یہی قلم ہے کہ جس کے ہنر سے نکلے ہیں
رہ حیات کے خم ہوں کہ زلف یار کے بل
یہی قلم ہے کہ جس کی عطا سے مجھ کو ملے
یہ چاہتوں کے شگوفے محبتوں کے کنول
تمام سینہ فگاروں کو یاد میرے سخن
ہر ایک غیرت مریم کے لب پہ میری غزل
اسی نے سہل کیے مجھ پہ زندگی کے عذاب
وہ عہد سنگ زنی تھا کہ دور تیغ اجل
اسی نے مجھ کو سجھائی ہے راہ اہل صفا
اسی نے مجھ سے کہا ہے پل صراط پہ چل
اسی نے مجھ کو چٹانوں کے حوصلے بخشے
وہ کربلائے فنا تھی کہ کارگاہ جدل
اسی نے مجھ سے کہا اسم اہل صدق امر
اسی نے مجھ سے کہا سچ کا فیصلہ ہے اٹل
اسی کے فیض سے آتش کدے ہوئے گلزار
اسی کے لطف سے ہر زشت بن گیا اجمل
اسی نے مجھ سے کہا جو ملا بہت کچھ ہے
اسی نے مجھ سے کہا جو نہیں ہے ہاتھ نہ مل
اسی نے مجھ کو قناعت کا بوریا بخشا
اسی کے ہاتھ سے دست دراز طمع ہے شل
اسی کی آگ سے میرا وجود روشن ہے
اسی کی آب سے میرا ضمیر ہے صیقل
اسی نے مجھ سے کہا بیعت یزید نہ کر
اسی نے مجھ سے کہا مسلک حسین پہ چل
اسی نے مجھ سے کہا زہر کا پیالہ اٹھا
اسی نے مجھ سے کہا جو کہا ہے اس سے نہ ٹل
اسی نے مجھ سے کہا عاجزی سے مات نہ کھا
اسی نے مجھ سے کہا مصلحت کی چال نہ چل
اسی نے مجھ سے کہا غیرت سخن کو نہ بیچ
کہ خون دل کے شرف کو نہ اشرفی سے بدل
اسی نے مجھ کو عنایت کیا ید بیضا
اسی نے مجھ سے کہا سحر سامری سے نکل
اسی نے مجھ سے کہا عقل تہ نشینی ہے
اسی نے مجھ سے کہا ورطۂ خرد سے نکل
اسی نے مجھ سے کہا وضع عاشقی کو نہ چھوڑ
وہ خواہ عجز کا لمحہ ہو یا غرور کا پل
اذیتوں میں بھی بخشی مجھے وہ نعمت صبر
کہ میرے دل میں گرہ ہے نہ میرے ماتھے پہ بل
ہیں ثبت سینۂ مہتاب پر قدم میرے
ہیں منتظر مرے مریخ و مشتری و زحل
تری عطا کے سبب یا میری انا کے سبب
کسی دعا کا ہے موقعہ نہ التجا کا محل
سو تجھ سا ہے کوئی خالق نہ مجھ سی ہے مخلوق
نہ کوئی تیرا ہے ثانی نہ کوئی میرا بدل
فرازؔ تو بھی جنوں میں کدھر گیا ہے نکل
ترا دیار محبت تری نگار غزل
ق
ٹپک چکا ہے بہت تیری آنکھ سے خوں ناب
برس چکا ہے بہت تیرے درد کا بادل
کچھ اور دیر ابھی حسرت وصال میں رہ
کچھ اور دیر ابھی آتش فراق میں جل
کسی بہار شمائل کی بات کر کہ بنے
ہر ایک حرف شگوفہ ہر ایک لفظ کنول

شاعر:

آواز:

Ma'āf kar mirī mastī Khudā-e-izz o jall

Ma'āf kar mirī mastī Khudā-e-izz o jall
Ki mere hāth mein sāghar hai mere lab pe ghazal
Karīm hai tū mirī laghzishoñ ko pyār se dekh
Rahīm hai tū sazā o jazā kī had se nikal
Hai dostī to mujhe izn-e-mezbānī de
Tū āsmāñ se utar aur mirī zamīn pe chal
Maiñ pā ba-gul huuñ magar chhū chukā manāra-e-arsh
So tū bhī dekh ye khāk o khashār o jangal
Bahut azīz hai mujh ko ye khākdāñ merā
Ye kohsār ye qulzum ye dasht ye daldal
Mere jahāñ mein zamāñ o makāñ o lail o nahār
Tere jahāñ mein azal hai abad na āj na kal
Mere lahū mein hai barq-e-tapāñ kā jazb o gurez
Tere sabū mein mai-e-zindagī na zahr-e-ajal
Terī bahisht hai dasht-e-jamūd o bahr-e-sukūt
Mirī sarisht hai āshob-e-zāt se be-kal
Tū apne arsh pe shādāñ hai so khushī terī
Maiñ apne farsh pe nāzāñ huuñ ai nigār-e-azal
Mujhe na jannat-e-gumgashta kī bashārat de
Ki mujh ko yaad abhī tak hai hijrat-e-awwal
Tere karam se yahāñ bhī mujhe mayassar hai
Jo zāhidoñ kī ibādat mein ḍāltā hai khalal
Vah sair-chashm huuñ mere liye hai be-vaq'at
Jamāl-e-hūr o sharāb-e-ṭahūr o shīr o asal
Gunāh-gār to huuñ par na is qadar ki mujhe
Salīb-e-roz-e-mukāfāt kī lage bojhal
Kahīñ kahīñ koī lāla kahīñ kahīñ koī dāgh
Mirī bayāz kī sūrat hai merī fard-e-amal
Vah tū ki uqda-kushā o musabbib-ul-asbāb
Ye maiñ ki aap mu'ammā huuñ aap apnā hī hal
Maiñ aap apnā hī Hābīl apnā hī Qābīl
Mirī hī zāt hai maqtūl o qātil o maqtal
Baras baras kī tarah thā nafas nafas merā
Sadī sadī kī tarah kāṭṭā rahā pal pal
Terā wujūd hai lā-raib ashraf o a'lā
Jo sach kahuñ to nahīñ maiñ bhī arzāl o asfal
Ye wāqia hai ki shāir vah dekh saktā hai
Rahe jo tere farishtoñ kī āñkh se ojhal
Vah pur-fishāñ haiñ magar ghūl-e-shab-parak kī tarah
So rāegāñ haiñ ki jūñ chashm-e-kūr mein kājal
Mere liye to hai so bakhshishoñ ki ek bakhshish
Qalam jo afsar o tabl o alam se hai afzal
Yahī qalam hai ki jis kī sitāra-sāzī se
Diloñ mein jot jagātī hai ishq kī mash'al
Yahī qalam hai jo dukh kī rutoñ mein bakhshtā hai
Diloñ ko pyār kā marham sukūñ kā sandal
Yahī qalam hai ki i'jāz-e-harf se jis ke
Tamām ishva-tarāzān-e-shahar haiñ pāgal
Yahī qalam hai ki jis ne mujhe ye dars diyā
Ki sang o khisht kī zad par raheñge shīsh mahal
Yahī qalam hai ki jis kī sarīr ke āge
Haiñ surma dar galū khooñ-khwār lashkaroñ ke bugal
Yahī qalam hai ki jis ke hunar se nikle haiñ
Rah-e-hayāt ke kham hoñ ki zulf-e-yār ke bal
Yahī qalam hai ki jis kī atā se mujh ko mile
Ye chāhatoñ ke shugūfe muhabbatoñ ke kanwal
Tamām sīnā-figāroñ ko yaad mere sukhan
Har ek ghairat-e-Maryam ke lab pe merī ghazal
Isī ne sahl kiye mujh pe zindagī ke azāb
Vah ahd-e-sang-zanī thā ki daur-e-tegh-e-ajal
Isī ne mujh ko sujhāī hai rāh-e-ahl-e-safā
Isī ne mujh se kahā hai pul-e-sirāṭ pe chal
Isī ne mujh ko chaṭānoñ ke hausle bakhshe
Vah Karbalā-e-fanā thī ki kār-gah-e-jadl
Isī ne mujh se kahā ism-e-ahl-e-sidq amar
Isī ne mujh se kahā sach kā faisla hai aṭal
Isī ke faiz se ātish-kade hue gulzār
Isī ke lutf se har zisht ban gayā ajmal
Isī ne mujh se kahā jo milā bahut kuchh hai
Isī ne mujh se kahā jo nahīñ hai hāth na mil
Isī ne mujh ko qanā'at kā boriya bakhshā
Isī ke hāth se dast-e-darāz-e-ṭama' hai shal
Isī kī āg se merā wujūd roshan hai
Isī kī āb se merā zamīr hai saiql
Isī ne mujh se kahā bai'at-e-Yazīd na kar
Isī ne mujh se kahā maslak-e-Husain pe chal
Isī ne mujh se kahā zahr kā pyāla uṭhā
Isī ne mujh se kahā jo kahā hai us se na ṭal
Isī ne mujh se kahā ājazī se māt na khā
Isī ne mujh se kahā maslahat kī chāl na chal
Isī ne mujh se kahā ghairat-e-sukhan ko na bech
Ki khoon-e-dil ke sharaf ko na ashrafī se badal
Isī ne mujh ko ināyat kiyā yad-e-baiẓā
Isī ne mujh se kahā sehr-e-Sāmirī se nikal
Isī ne mujh se kahā aql tah-nashīnī hai
Isī ne mujh se kahā warṭa-e-khirad se nikal
Isī ne mujh se kahā vaz'a-e-āshiqī ko na chhoṛ
Vah khwāh ajz kā lamha ho yā ghurūr kā pal
Aziyyatoñ mein bhī bakhshī mujhe vah ni'mat-e-sabr
Ki mere dil mein girah hai na mere māthe pe bal
Haiñ sabt sīna-e-mahtāb par qadam mere
Haiñ muntazir mere Mirrīkh o Mushtarī o Zuhal
Terī atā ke sabab yā merī anā ke sabab
Kisī du'ā kā hai mauqa na iltijā kā mahal
So tujh sā hai koī khāliq na mujh sī hai makhlūq
Na koī terā hai sānī na koī merā badal
Farāz! tū bhī junūñ mein kidhar gayā hai nikal
Terā diyār-e-muhabbat terī nigār-e-ghazal
Q
Tapak chukā hai bahut terī āñkh se khooñ-nāb
Baras chukā hai bahut tere dard kā bādal
Kuchh aur der abhī hasrat-e-visāl mein rah
Kuchh aur der abhī ātish-e-firāq mein jal
Kisī bahār-e-shamāil kī baat kar ki bane
Har ek harf shugūfa har ek lafz kanwal