کریسنٹ — مقرر کی تصویر

جرمِ وعدہ — آواز: کریسنٹ | شاعر: زہرا نگاہ

مقرر / سپیکر

تعارف انتخابِ کلام

جرمِ وعدہ

مِرے بچّے ہزاروں بار میں نے تم کو اک قصہ سنایا ہے
کبھی لوری کے آنچل میں
کبھی باتوں کے جھولے میں تمھیں بہلا کے لپٹا کے سُلایا ہے
تمہارے گرم رخساروں کو اپنے سرد ہونٹوں سے چھوا ہے
تم سے اک وعدہ کیا ہے
مِرے بچّے
کہانی میں تھکی ہاری جو لڑکی تھی
وہ شہزادی نہیں میں تھی
وہ جادو کا محل جو اک پل میں جل کے صحرا ہو گیا تھا وہ مِرا گھر تھا
جہاں آنکھوں کی سوئیاں رہ گئی تھیں
خواب میرے تھے
وہ جن میں گھِر گئی تھی
غیر کیا سب میرے اپنے تھے
جہاں اسکا فسانہ تھا
وہیں میری حقیقت تھی
جہاں وہ مڑ کے پتھر ہو گئی
میری محبت تھی
ہزاروں آگ کے میدان تھے
بارش لہو کی تھی
یہ سب کچھ مجھ پہ گزری تھی
مِرے بچّے کہانی میں
تھکی ہاری جو لڑکی تھی
وہ شہزادی نہیں میں تھی
جہاں قصے کا آخر تھا
مِرے بچّے !
وہاں تم تھے
خوشی کی زندگانی کی علامت
تمناؤں کا اک خوابِ مسلسل
رفاقت کی صداقت کی ضمانت
جہاں پر صرف خوش انجام تھا ، ہر ایک افسانہ
مرے بچّے ! وہاں تم تھے ، وہاں تم تھے
مری آنکھیں کسی پیمان کے زخموں سے بوجھل تھیں
تمہارا عکس ان زخموں کا مرہم تھا
ادھورے عہد کے رعشے سے میرے ہاتھ لرزاں تھے
تمہارا ساتھ اک تسکینِ پیہم تھا
مجھے اقرار تھا
میں خاک ہوں
تم حسن و زیبائش
مجھے احساس تھا
میں خوف ہوں
تم امن و آسائش
میں ماضی ہوں
مگر تم صورتِ فردا فروزاں ہو
میں مشکل ہوں
مگر تم صورتِ امید آساں ہو
مِرے بچّے !
مرا احساس اور اقرار دونوں آج مجرم ہیں
میں اپنا سر جھکاۓ اپنی فردِ جرم سنتی ہوں
بجاۓ گل رداۓِ آرزو سے خار چنتی ہوں
تمھیں معلوم ہے
الزام کیا ہے
وہی وعدہ جو انسانوں کی تقدیروں میں لکھا ہے
تحفظ کا ، تمہاری آبرو کا ، سر بلندی کا

شاعر:

آواز:

Jurm-e-Wa'da

Mere bachche hazāroñ baar maiñ ne tum ko ik qissa sunāyā hai
kabhī lorī ke āñchal mein
kabhī bātoñ ke jhūle mein tumheiñ bahlā ke lipṭā ke sulāyā hai
tumhāre garm ruḳhsāroñ ko apne sard hoñṭoñ se chhuā hai
tum se ik wa'da kiyā hai
Mere bachche
kahānī mein thakī hārī jo laṛkī thī
woh shehzādī nahīñ maiñ thī
woh jādu kā mahal jo ik pal mein jal ke sahrā ho gayā thā woh merā ghar thā
jahāñ āñkhoñ kī sū'iyyāñ rah ga'īñ thiiñ
ḳhwāb mere the
woh jin mein ghir ga'ī thī
Ghair kyā sab mere apne the
jahāñ iskā fasāna thā
wahīñ merī haqīqat thī
jahāñ woh muṛ ke patthar ho ga'ī
merī mohabat thī
hazāroñ aag ke maidān the
bārish lahu kī thī
yeh sab kuchh mujh pe guzrī thī
Mere bachche kahānī mein
thakī hārī jo laṛkī thī
woh shehzādī nahīñ maiñ thī
jahāñ qisse kā āḳhir thā
Mere bachche !
wahāñ tum the
ḳhushī kī zindagānī kī alāmat
tamannā'oñ kā ik ḳhwāb-e-musalsal
rafāqat kī sadāqat kī zamānat
jahāñ par sirf ḳhush anjām thā , har ek afsāna
Mere bachche ! wahāñ tum the , wahāñ tum the
Merī āñkheiñ kisī paimān ke zaḳhmoñ se bojhāl thiiñ
tumhārā aks un zaḳhmoñ kā marham thā
adhūre ahd ke ra'she se mere haath larzāñ the
tumhārā sāth ik taskīn-e-paiham thā
mujhe iqrār thā
maiñ ḳhaak hūñ
tum husn-o-zebā'ish
mujhe ehsās thā
maiñ ḳhauf hūñ
tum amn-o-āsā'ish
maiñ māzī hūñ
magar tum sūrat-e-fardā farozāñ ho
maiñ mushkil hūñ
magar tum sūrat-e-ummeed āsāñ ho
Mere bachche !
merā ehsās aur iqrār donoñ aaj mujrim hain
maiñ apnā sar jhukā'e apnī fard-e-jurm suntī hūñ
bajā'e gul ridā-e-ārzū se ḳhār chuntī hūñ
tumheiñ ma'lūm hai
ilzām kyā hai
wahī wa'da jo insānoñ kī taqdeeroñ mein likhā hai
tahaffuz kā , tumhārī ābrū kā , sar bulandī kā