بھولتا کون ہے
وقت کے گھاؤ کو
ہجر کے تندطوفان کی بے یقین لہر میں
وصل کے خواب کی ڈوبتی ناؤ کو
بھولتا کون ہے
بھولتا کون ہے
اپنے قاتل کے خدوخال کو
دُکھ اُٹھاتے دنوں اور ماہ وسال کو
بھولتا کون ہے
بھولتا کون ہے
عمر کی شاخ پر کھلنے والی اس اک اوّلین شام کو
بے سبب جو لگا ہے اِس الزام کو
پھر تِرے نام کو
بھولتا کون ہے ۔۔!
شاعر: نوشی گیلانی
آواز: افتخار احمد
Bhoolta kaun hai
Waqt ke ghao ko
Hijr ke tund toofan ki be-yaqeen lehr mein
Wasl ke khwab ki doobti nao ko
Bhoolta kaun hai
Bhoolta kaun hai
Apne qatil ke khud-o-khal ko
Dukh uthate dino aur maah-e-wisal ko
Bhoolta kaun hai
Bhoolta kaun hai
Umar ki shakh par khilne wali is ek awwalin shaam ko
Be sabab jo laga hai is ilzam ko
Phir tere naam ko
Bhoolta kaun hai..!!