تری رہ گزر کو میں یوں چھوڑ آیا
کہ اک بے نوا کی تباہی کا تجھ پر نہ الزام آئے
میں سمجھا تھا یوں شہر کی رونقوں میں الجھ کر
تری بے نیازی کے آسیب سے بچ رہوں گا
مگر جب کبھی میں سر شام کیفے میں پہنچا
تو دیکھا
کہ تو حال کے ایک کونے میں اک میز پر سر جھکائے
نہ جانے کسے نامۂ مشکبو لکھ رہا ہے
کبھی مال پر میں نے ٹیکسی جو روکی
تو دیکھا
کہ ٹیکسی میں پہلے سے اک آشنا چہرۂ دل نشیں کی ضیا ہے
ہمیشہ یہ تو تھا
کبھی شام کو میں کسی سنیما حال میں جا کے بیٹھا
تو دیکھا
کہ پہلو میں تو ہے
کئی بار میں نے تجھے گلشن فاطمہؓ کی ہری گھاس پر بیٹھے دیکھا
کئی بار بازار میں تو مرے ساتھ چلتا رہا دیر تک اور
کئی بار تو میرے گھر تک مرے ساتھ آیا
اور اب اپنے تاریک کمرے میں بیٹھا ہوا سوچتا ہوں
تری رہ گزر کو میں کیوں چھوڑ آیا
شاعر: عرش صدیقی
آواز: راجا اکرام قمر
Terī rahguzar ko maiñ yūñ chhoṛ āyā
Ki ek be-navā kī tabāhī kā tujh par na ilzām aa.e
Maiñ samjhā thā yūñ shahr kī raunaqoñ meñ ulajh kar
Terī be-niyāzī ke āseb se bach rahūñgā
Magar jab kabhī maiñ sar-e-shām cafe meñ pahuñchā
To dekhā
Ki tū hāl ke ek kone meñ ek mez par sar jhukā.e
Na jāne kise nāma-e-mushk-bū likh rahā hai
Kabhī māl par maiñ ne taxi jo rokī
To dekhā
Ki taxi meñ pahle se ek āshnā chehra dil-nashīñ kī ziyā hai
Hamesha ye to thā
Kabhī shām ko maiñ kisī cinema hall meñ jā ke baiṭhā
To dekhā
Ki pahlu meñ tū hai
Ka.ī bār maiñ ne tujhe Gulshan-e-Fāṭima kī harī ghās par baiṭhe dekhā
Ka.ī bār bāzār meñ tū mere sāth chaltā rahā der tak aur
Ka.ī bār tū mere ghar tak mere sāth āyā
Aur ab apne tārīk kamre meñ baiṭhā huā sochtā hūñ
Terī rahguzar ko maiñ kyūñ chhoṛ āyā