دعا کا ٹوٹا ہوا حرف سرد آہ میں ہے
تری جدائی کا منظر ابھی نگاہ میں ہے
ترے بدلنے کے با وصف تجھ کو چاہا ہے
یہ اعتراف بھی شامل مرے گناہ میں ہے
عذاب دے گا تو پھر مجھ کو خواب بھی دے گا
میں مطمئن ہوں مرا دل تری پناہ میں ہے
بکھر چکا ہے مگر مسکرا کے ملتا ہے
وہ رکھ رکھاؤ ابھی میرے کج کلاہ میں ہے
جسے بہار کے مہمان خالی چھوڑ گئے
وہ اک مکان ابھی تک مکیں کی چاہ میں ہے
یہی وہ دن تھے جب اک دوسرے کو پایا تھا
ہماری سال گرہ ٹھیک اب کے ماہ میں ہے
میں بچ بھی جاؤں تو تنہائی مار ڈالے گی
مرے قبیلے کا ہر فرد قتل گاہ میں ہے
شاعر: پروین شاکر
آواز: زاہدحسین
Du'ā kā ṭūṭā huā harf sard-āh maiñ hai
Terī judāī kā manzar abhī nigāh maiñ hai
Tere badalne ke bā-vasf tujh ko chāhā hai
Yeh e'tirāf bhī shāmil mere gunāh maiñ hai
Azāb de gā toh phir mujh ko khvāb bhī de gā
Maiñ mutma'in hūñ mirā dil terī panāh maiñ hai
Bikhar chukā hai magar muskurā ke miltā hai
Voh rakh rakhā'o abhī mere kaj-kulāh maiñ hai
Jise bahār ke mehmān khālī chhoṛ ga'e
Voh ek makān abhī tak makeeñ kī chāh maiñ hai
Yeh hī voh din the jab ek dūsre ko pāyā thā
Hamārī sāl-girah ṭhīk ab ke māh maiñ hai
Maiñ bach bhī jāūñ toh tanhāī mār ḍālegī
Mere qabeelay kā har fard qatl-gāh maiñ hai