یاد ھے وہ گھڑی محبت کی
آنکھ جیسے لڑی محبت کی
بعد مرنے کے بھی نہیں مرتی
عمر کتنی بڑی محبت کی
میں فلک پار جا بھی سکتا ہوں
ہاتھ میں ھے چھڑی محبت کی
ہجر میں دل بھی روتا رہتا ھے
آنکھ بھی رو پری محبت کی
میں نے صدقہ دیا محبت کا
جب ضرورت پڑی محبت کی
یہ بسا لے خدا کو بھی دل میں
ذات اتنی بڑی محبت کی
تیری یادوں کی دل میں ٹِک ٹِک ھے
چل رھی ھے گھڑی محبت کی
پاؤں میں بیڑیاں جدائی کی
ہاتھ میں ہتھکڑی محبت کی
Yaad hai woh ghadi mohabbat ki
Aankh jaise ladi mohabbat ki
Baad marne ke bhi nahin marti
Umar kitni badi mohabbat ki
Main falak paar ja bhi sakta hoon
Haath mein hai chhadi mohabbat ki
Hijr mein dil bhi rota rehta hai
Aankh bhi ro padi mohabbat ki
Main ne sadqa diya mohabbat ka
Jab zaroorat padi mohabbat ki
Yeh basa le Khuda ko bhi dil mein
Zaat itni badi mohabbat ki
Teri yaadon ki dil mein tik tik hai
Chal rahi hai ghadi mohabbat ki
Paaon mein bediyan judai ki
Haath mein hathkadi mohabbat ki