دل بے مدعا ہے اور میں ہوں
مگر لب پر دعا ہے اور میں ہوں
نہ ساقی ہے نہ اب وہ شے ہے باقی
مرا دور آ گیا ہے اور میں ہوں
ادھر دنیا ہے اور دنیا کے بندے
ادھر میرا خدا ہے اور میں ہوں
کوئی پرساں نہیں پیر مغاں کا
فقط میری وفا ہے اور میں ہوں
ابھی میعاد باقی ہے ستم کی
محبت کی سزا ہے اور میں ہوں
نہ پوچھو حال میرا کچھ نہ پوچھو
کہ تسلیم و رضا ہے اور میں ہوں
یہ طول عمر نامعقول و بے کیف
بزرگوں کی دعا ہے اور میں ہوں
لہو کے گھونٹ پینا اور جینا
مسلسل اک مزا ہے اور میں ہوں
حفیظؔ ایسی فلاکت کے دنوں میں
فقط شکر خدا ہے اور میں ہوں
شاعر: حفیظ جالندھری
آواز: حسن سید
Dil be-muddaa hai aur mein hoon
Magar lab par dua hai aur mein hoon
Na saqi hai na ab woh shai hai baqi
Mira daur aa gaya hai aur mein hoon
Idhar duniya hai aur duniya ke bande
Idhar mera Khuda hai aur mein hoon
Koi pursaan nahin peer-e-mughan ka
Faqat meri wafa hai aur mein hoon
Abhi mi'aad baqi hai sitam ki
Mohabbat ki saza hai aur mein hoon
Na poochho haal mera kuchh na poochho
Ke tasleem-o-raza hai aur mein hoon
Yeh tool-e-umr nama'qool-o-be-kaif
Buzurgon ki dua hai aur mein hoon
Lahu ke ghoont peena aur jeena
Musalsal ek maza hai aur mein hoon
Hafeez aisi falakat ke dinon mein
Faqat shukr Khuda hai aur mein hoon