مدتوں تک جو پڑھایا کیا استاد مجھے
عشق میں بھول گیا کچھ نہ رہا یاد مجھے
کیا میں دیوانہ ہوں یارب کہ سر راہ گزر
دور سے گھورنے لگتے ہیں پری زاد مجھے
اب ہے آواز کی وہ شان نہ بازو کی اڑان
اور صیاد کیے دیتا ہے آزاد مجھے
داد خواہی کے لیے اور تو ساماں نہ ملا
نالہ و آہ پہ رکھنی پڑی بنیاد مجھے
میرے شعروں پہ وہ شرمائے تو احباب ہنسے
اے حفیظؔ آج غزل کی یہ ملی داد مجھے
شاعر: حفیظ جالندھری
آواز: عباس نقوی
Muddatōñ tak jo paṛhāyā kyā ustād mujhe
Ishq meñ bhūl gayā kuchh na rahā yaad mujhe
Kyā maiñ dīvāna hūñ yā-rab ki sar-e-rāh-guzar
Dūr se ghūrne lagte haiñ parī-zād mujhe
Ab hai āvāz kī vo shān na bāzū kī uṛān
Aur sayyād kiye detā hai āzād mujhe
Dād-ḳhwāhī ke liye aur to sāmāñ na milā
Nāla-o-āh pe rakhnī paṛī buniyād mujhe
Mere sheroñ pe vo sharmā.e to ahbāb hanse
Ai Hafīzؔ āj ghazal kī yeh milī dād mujhe