ریشم زلف کے تار بھی باتیں کرتے ہیں
اس کے تو رخسار بھی باتیں کرتے ہیں
اتنا وقت میں دیتا ہوں اس لڑکی کو
اب تو میرے یار بھی باتیں کرتے ہیں
سو افسانے بن جاتے ہیں دونوں کے
ہم دونوں دو چار بھی باتیں کرتے ہیں
ہر اک شعر نہیں ہو سکتا اچھا شعر
شاعر کچھ بیکار بھی باتیں کرتے ہیں
اتنے زخم دکھاتا ہوں میں آئے دن
مجھ کو تو غم خوار بھی باتیں کرتے ہیں
فخر عباس
Resham zulf ke taar bhi baatein karte hain
Uske to rukhsar bhi baatein karte hain
Itna waqt main deta hoon us ladki ko
Ab to mere yaar bhi baatein karte hain
Sau afsane ban jaate hain dono ke
Hum dono do chaar bhi baatein karte hain
Har ek sher nahin ho sakta achha sher
Shaayar kuchh bekar bhi baatein karte hain
Itne zakhm dikhata hoon main aaye din
Mujh ko to gham khwar bhi baatein karte hain