ڈاکٹر فخر عباس — شاعر کی تصویر

یہ جو لاہور سے محبت ہے — ڈاکٹر فخر عباس

شاعر

تعارف شاعری

یہ جو لاہور سے محبت ہے

یہ جو لاہور سے محبت ہے
یہ کسی اور سے محبت ہے
اور وہ اور تم نہیں شاید
مجھ کو جس اور سے محبت ہے
یہ ہوں میں اور یہ مری تصویر
دیکھ لے غور سے محبت ہے
بچپنا کمسنی جوانی آج
تیرے ہر دور سے محبت ہے
ایک تہذیب ہے مجھے مقصود
مجھ کو اک دور سے محبت ہے
اس کی ہر طرز مجھ کو بھاتی ہے
اس کے ہر طور سے محبت ہے

Yeh jo Lahore se mohabbat hai

Yeh jo Lahore se mohabbat hai
Yeh kisi aur se mohabbat hai
Aur woh aur tum nahin shayad
Mujh ko jis aur se mohabbat hai
Yeh hoon main aur yeh meri tasveer
Dekh le ghaur se mohabbat hai
Bachpana, kamsini, jawani, aaj
Tere har daur se mohabbat hai
Ek tehzeeb hai mujhe maqsood
Mujh ko ek daur se mohabbat hai
Uski har tarz mujh ko bhaati hai
Uske har taur se mohabbat hai