اس طرح مجھ کو کسی دل میں جگہ دی گئی ہے
جیسے بچی کوئی کوٹھے پہ بٹھا دی گئی ہے
بس تری یاد ہی باقی تھی مرے ہاتھوں میں
اب تری یاد بھی ہاتھوں سے گنوا دی گئی ہے
وہ کسی اور سے منسوب ہوئی ہے ایسے
جیسے بیوہ کسی ڈولی میں بٹھا دی گئی ہے
ذہن کردار سے تبدیل ہوا لوگوں کا
بس اسی جرم میں کاتب کو سزا دی گئی ہے
Iss tarah mujh ko kisi dil mein jagah di gayi hai
Jaise bacchi koi kothe pe bitha di gayi hai
Bas teri yaad hi baqi thi mere haathon mein
Ab teri yaad bhi haathon se ganwa di gayi hai
Woh kisi aur se mansoob hui hai aise
Jaise bewa kisi doli mein bitha di gayi hai
Zehan kirdar se tabdeel hua logon ka
Bas isi jurm mein katib ko saza di gayi hai