بے گھری ہے کہاں ٹھکانا ہے
کیا خبر کتنی دور جانا ہے
آپ یہ بوجھ کہہ رہے ہیں جسے
ہم نے اک عمر تک اٹھانا ہے
اس کی حرمت پہ حرف آتے ہی
ہم فقیروں نے ہار جانا ہے
ہم کسی اور ہی زمانے سے
یہ کوئی اور ہی زمانا ہے
ہم کو زخموں کی فکر لاحق ہے
آپ نے قافیہ نبھانا ہے
یہ جو خاموش ہے یہ دانش ہے
شہر نے غلغلا مچانا ہے
Be-gharī hai kahāñ ṭhikānā hai
Kyā khabar kitnī duur jānā hai
Aap ye bojh keh rahe hain jise
Ham ne ik umr tak uṭhānā hai
Is kī hurmat pe harf aate hī
Ham faqīroñ ne haar jānā hai
Ham kisī aur hī zamāne se
Ye koī aur hī zamāna hai
Ham ko zakhmoñ kī fikr lāhiq hai
Aap ne qāfiya nibhānā hai
Ye jo khāmosh hai ye dānish hai
Shehr ne ghalghala machānā hai