اس نئے غم سے کنارہ بھی تو ہو سکتا ہے
عشق پھر ہم کو دوبارہ بھی تو ہو سکتا ہے
آپ اندازہ لگاتے رہیں بس جگنو کا
مری مٹھی میں ستارہ بھی تو ہو سکتا ہے
کیا ضروری ہے کہ یہ جان لٹا دی جائے
اس کی یادوں پہ گزارا بھی تو ہو سکتا ہے
دل کی بستی سے سر شام جو اٹھا ہے دھواں
اچھے موسم کا اشارہ بھی تو ہو سکتا ہے
آپ کو ہم سے محبت بھی تو ہو سکتی ہے
اور محبت میں خسارہ بھی تو سکتا ہے
یہ جو پھیلا ہے فلک تک شب ہجراں کا غبار
مری وحشت کا نظارہ بھی تو ہو سکتا ہے
ناظر وحید
Is nae gham se kināra bhī to ho saktā hai
Ishq phir ham ko dobāra bhī to ho saktā hai
Aap andāza lagāte raheñ bas jugnū kā
Mirī muṭṭhī mein sitāra bhī to ho saktā hai
Kyā zarūrī hai ki ye jān luṭā dī jāe
Us kī yādoñ pe guzāra bhī to ho saktā hai
Dil kī bastī se sar-e-shām jo uṭhā hai dhuāñ
Achhe mausam kā ishāra bhī to ho saktā hai
Aap ko ham se muhabbat bhī to ho saktī hai
Aur muhabbat mein khasāra bhī to saktā hai
Ye jo phailā hai falak tak shab-e-hijrāñ kā ghubār
Mirī vahshat kā nazāra bhī to ho saktā hai
Nāzir Wahīd