جذبوں کو زبان دے رہا ہوں
میں وقت کو دان دے رہا ہوں
موسم نے شجر پہ لکھ دیا کیا
ہر حرف پہ جان دے رہا ہوں
یوں ہے نم خاک بن کے جیسے
فصلوں کو اٹھان دے رہا ہوں
جو جو بھی خمیدہ سر ہیں ان کے
ہاتھوں میں کمان دے رہا ہوں
کیسی حد جبر ہے یہ جس پر
بے وقت اذان دے رہا ہوں
اوقات مری یہی ہے ماجدؔ
ہاری ہوئی لگان دے رہا ہوں
ماجد صدیقی
Jazboñ ko zabān de rahā huuñ
Maiñ waqt ko dān de rahā huuñ
Mausam ne shajar pe likh diyā kyā
Har harf pe jān de rahā huuñ
Yūñ hai nam khāk ban ke jaise
Fasloñ ko uṭhān de rahā huuñ
Jo jo bhī khamīda sar haiñ un ke
Hāthoñ mein kamān de rahā huuñ
Kaisī had-e-jabr hai ye jis par
Be-waqt azān de rahā huuñ
Auqāt mirī yahī hai Mājidؔ
Hārī huī lagān de rahā huuñ
Mājid Siddīqī