فائیٹر — مقرر کی تصویر

کبھی جو میں نے مسرت کا اہتمام کیا — آواز: فائیٹر | شاعر: خمار بارہ بنکوی

مقرر / سپیکر

تعارف انتخابِ کلام

کبھی جو میں نے مسرت کا اہتمام کیا

کبھی جو میں نے مسرت کا اہتمام کیا
بڑے تپاک سے غم نے مجھے سلام کیا
ہزار ترک تعلق کا اہتمام کیا
مگر جہاں وہ ملے دل نے اپنا کام کیا
زمانے والوں کے ڈر سے اٹھا نہ ہاتھ مگر
نظر سے اس نے بصد معذرت سلام کیا
کبھی ہنسے کبھی آہیں بھریں کبھی روئے
بقدر مرتبہ ہر غم کا احترام کیا
ہمارے حصے کی مے کام آئے پیاسوں کے
ز راہ خیر گناہ شکست جام کیا
طلوع مہر سے بھی گھر کی تیرگی نہ گھٹی
اک اور شب کٹی یا میں نے دن تمام کیا
دعا یہ ہے نہ ہوں گمراہ ہم سفر میرے
خمارؔ میں نے تو اپنا سفر تمام کیا

شاعر:

آواز:

Kabhī jo maiñ ne masarrat kā ihtemām kiyā

Kabhī jo maiñ ne masarrat kā ihtemām kiyā
Baṛe tapāk se gham ne mujhe salām kiyā
Hazār tark-e-ta'alluq kā ihtemām kiyā
Magar jahāñ woh mile dil ne apnā kaam kiyā
Zāmane vāloñ ke ḍar se uṭhā na haath magar
Nazar se us ne ba-sad ma'zarat salām kiyā
Kabhī hanse kabhī āheñ bhareñ kabhī ro'e
Ba-qadr-e-martaba har gham kā ehtarām kiyā
Hamāre hisse kī mai kaam aa'e pyāsoñ ke
Zi rāh-e-khair gunāh-e-shikast-e-jām kiyā
Tulū'-e-mehr se bhī ghar kī tīragī na ghaṭī
Ik aur shab kaṭī yā maiñ ne din tamām kiyā
Duā yeh hai na hoñ gumrāh hamsafar mere
Khumārؔ maiñ ne to apnā safar tamām kiyā