جب سے تو نے مجھے دیوانہ بنا رکھا ہے
سنگ ہر شخص نے ہاتھوں میں اٹھا رکھا ہے
اس کے دل پر بھی کڑی عشق میں گزری ہوگی
نام جس نے بھی محبت کا سزا رکھا ہے
پتھرو آج مرے سر پہ برستے کیوں ہو
میں نے تم کو بھی کبھی اپنا خدا رکھا ہے
اب مری دید کی دنیا بھی تماشائی ہے
تو نے کیا مجھ کو محبت میں بنا رکھا ہے
پی جا ایام کی تلخی کو بھی ہنس کر ناصرؔ
غم کو سہنے میں بھی قدرت نے مزا رکھا ہے
شاعر: حکیم ناصر
آواز: ریبل
Jab se tu ne mujhe deewana bana rakha hai
Sang har shakhs ne haathon mein uTha rakha hai
Us ke dil par bhi kaRi ishq mein guzri hogi
Naam jis ne bhi mohabbat ka saza rakha hai
Pattharon aaj mere sar pe baraste kyun ho
Main ne tum ko bhi kabhi apna Khuda rakha hai
Ab meri deed ki dunya bhi tamashayi hai
Tu ne kya mujh ko mohabbat mein bana rakha hai
Pi ja ayyaam ki talkhi ko bhi hans kar Nasir!
Gham ko sehne mein bhi qudrat ne maza rakha hai