طریق عشق میں مجھ کو کوئی کامل نہیں ملتا
گئے فرہاد و مجنوں اب کسی سے دل نہیں ملتا
بھری ہے انجمن لیکن کسی سے دل نہیں ملتا
ہمیں میں آ گیا کچھ نقص یا کامل نہیں ملتا
پرانی روشنی میں اور نئی میں فرق اتنا ہے
اسے کشتی نہیں ملتی اسے ساحل نہیں ملتا
پہنچنا داد کو مظلوم کا مشکل ہی ہوتا ہے
کبھی قاضی نہیں ملتے کبھی قاتل نہیں ملتا
حریفوں پر خزانے ہیں کھلے یاں ہجر گیسو ہے
وہاں پہ بل ہے اور یاں سانپ کا بھی بل نہیں ملتا
یہ حسن و عشق ہی کا کام ہے شبہ کریں کس پر
مزاج ان کا نہیں ملتا ہمارا دل نہیں ملتا
چھپا ہے سینہ و رخ دل ستاں ہاتھوں سے کروٹ میں
مجھے سوتے میں بھی وہ حسن سے غافل نہیں ملتا
حواس و ہوش گم ہیں بحر عرفان الٰہی میں
یہی دریا ہے جس میں موج کو ساحل نہیں ملتا
کتاب دل مجھے کافی ہے اکبرؔ درس حکمت کو
میں اسپنسر سے مستغنی ہوں مجھ سے مل نہیں ملتا
شاعر: اکبر اللہ آبادی
آواز: ریبل
Tareeq-e-ishq meñ mujh ko koī kāmil nahīñ miltā
Ga'e Farhād o Majnūñ ab kisī se dil nahīñ miltā
Bharī hai anjuman lekin kisī se dil nahīñ miltā
Hameñ meñ ā gayā kuchh nuqs yā kāmil nahīñ miltā
Purānī roshanī meñ aur naī meñ farq itnā hai
Use kashtī nahīñ miltī use sāhil nahīñ miltā
Pahuchnā dād ko mazlūm kā mushkil hī hotā hai
Kabhī qāzī nahīñ milte kabhī qātil nahīñ miltā
Hareefoñ par khazāne haiñ khule yāñ hijr-e-gesū hai
Wahāñ pe bal hai aur yāñ sāñp kā bhī bil nahīñ miltā
Ye husn o ishq hī kā kām hai shubah kareñ kis par
Mizāj un kā nahīñ miltā hamārā dil nahīñ miltā
Chhupā hai sīnah o rukh dil-sitāñ hāthoñ se karwaṭ meñ
Mujhe sote meñ bhī woh husn se ghāfil nahīñ miltā
Hawās o hosh gum haiñ bahr-e-irfān-e-ilāhī meñ
Yehī daryā hai jis meñ mauj ko sāhil nahīñ miltā
Kitāb-e-dil mujhe kāfī hai Akbar dars-e-hikmat ko
Maiñ Spencer se mustaghnī hūñ mujh se mil nahīñ miltā