زین چوہدری — مقرر کی تصویر

کچھ تو ہوا بھی سرد تھی کچھ تھا ترا خیال بھی — آواز: زین چوہدری | شاعر: پروین شاکر

مقرر / سپیکر

تعارف انتخابِ کلام

کچھ تو ہوا بھی سرد تھی کچھ تھا ترا خیال بھی

کچھ تو ہوا بھی سرد تھی کچھ تھا ترا خیال بھی
دل کو خوشی کے ساتھ ساتھ ہوتا رہا ملال بھی
بات وہ آدھی رات کی رات وہ پورے چاند کی
چاند بھی عین چیت کا اس پہ ترا جمال بھی
سب سے نظر بچا کے وہ مجھ کو کچھ ایسے دیکھتا
ایک دفعہ تو رک گئی گردش ماہ و سال بھی
دل تو چمک سکے گا کیا پھر بھی تراش کے دیکھ لیں
شیشہ گران شہر کے ہاتھ کا یہ کمال بھی
اس کو نہ پا سکے تھے جب دل کا عجیب حال تھا
اب جو پلٹ کے دیکھیے بات تھی کچھ محال بھی
میری طلب تھا ایک شخص وہ جو نہیں ملا تو پھر
ہاتھ دعا سے یوں گرا بھول گیا سوال بھی
اس کی سخن طرازیاں میرے لیے بھی ڈھال تھیں
اس کی ہنسی میں چھپ گیا اپنے غموں کا حال بھی
گاہ قریب شاہ رگ گاہ بعید وہم و خواب
اس کی رفاقتوں میں رات ہجر بھی تھا وصال بھی
اس کے ہی بازوؤں میں اور اس کو ہی سوچتے رہے
جسم کی خواہشوں پہ تھے روح کے اور جال بھی
شام کی نا سمجھ ہوا پوچھ رہی ہے اک پتا
موج ہوائے کوئے یار کچھ تو مرا خیال بھی

شاعر:

آواز:

Kuchh toh havā bhī sard thī kuchh thā terā ḳhayāl bhī

Kuchh toh havā bhī sard thī kuchh thā terā ḳhayāl bhī
Dil ko khushī ke sāth sāth hotā rahā malāl bhī
Bāt voh ādhī rāt kī rāt voh poore chāñd kī
Chāñd bhī ain Chait kā us pe terā jamāl bhī
Sab se nazar bachā ke voh mujh ko kuchh aise dekhtā
Ek dafa toh ruk gaī gardish-e-māh-o-sāl bhī
Dil toh chamak sake gā kyā phir bhī tarāsh ke dekh leñ
Shīsha-garāñ shehar ke haath kā yeh kamāl bhī
Us ko na pā sake the jab dil kā ajeeb hāl thā
Ab jo palaṭ ke dekhiye bāt thī kuchh muhāl bhī
Merī talab thā ek shaḳhs voh jo nahīñ milā toh phir
Haath du'ā se yūñ girā bhūl gayā savāl bhī
Us kī suḳhan-tarāziyāñ mere liye bhī ḍhāl thīñ
Us kī hansī maiñ chhup gayā apne ghamoñ kā hāl bhī
Gāh qareeb-e-shāh-rag gāh ba'eed-e-vahm-o-ḳhvāb
Us kī rafāqatoñ maiñ rāt-e-hijr bhī thā visāl bhī
Us ke hī bāzu'oñ maiñ aur us ko hī sochte rahe
Jism kī ḳhvāhishoñ pe the rūh ke aur jāl bhī
Shām kī nā-samajh havā pūchh rahī hai ek patā
Mauj-e-havā-e-kū-e-yār kuchh toh mirā ḳhayāl bhī