آرزو لکھنوی — شاعر کی تصویر

قربت بڑھا بڑھا کر بے خود بنا رہے ہیں — آرزو لکھنوی

شاعر

تعارف شاعری

قربت بڑھا بڑھا کر بے خود بنا رہے ہیں

قربت بڑھا بڑھا کر بے خود بنا رہے ہیں
میں دور ہٹ رہا ہوں وہ پاس آ رہے ہیں
اعجاز پاک بازی حیرت میں لا رہے ہیں
دل مل گیا ہے دل سے پہلو جدا رہے ہیں
وہ دل سے غم بھلا کر دل کو لبھا رہے ہیں
گزرے ہوئے زمانے پھر پھر کے آ رہے ہیں
سینے میں ضبط غم سے چھالا ابھر رہا ہے
شعلے کو بند کر کے پانی بنا رہے ہیں
معنی نہ پوچھ ظالم اس عذر بے گنہ کے
اپنے کو اول دے کر تجھ کو بچا رہے ہیں
اے بے خودی کہاں ہے جلدی مری خبر لے
بھولے تھے جو بہ مشکل پھر یاد آ رہے ہیں
لیں کام ضبط سے کیا الٹا ہے دل کا پھوڑا
اتنا ابھر رہا ہے جتنا دبا رہے ہیں
فرقت میں ساز راحت ساماں عذاب کا ہے
ٹھنڈی ہوا کے جھونکے کیا جی جلا رہے ہیں
ہیں حسن کے کرشمے کیا انقلاب آگیں
غم خوار جو تھے کل تک اب خار کھا رہے ہیں
خود ان کی جستجو میں ہم دور بھاگے ورنہ
وہ کب الگ رہے ہیں وہ کب جدا رہے ہیں
لے لے کے ٹھنڈی سانسیں پوچھو نہ حال دیکھو
تم بھید کھولتے ہو اور ہم چھپا رہے ہیں
دیکھ آرزوؔ یہ رونا شانہ ہلا ہلا کر
تو آج خواب میں ہے اور وہ جگا رہے ہیں

Qurbat baṛhā baṛhā kar be-khud banā rahe hain

Qurbat baṛhā baṛhā kar be-khud banā rahe hain
Main door haṭ rahā huun wo paas ā rahe hain
I'jāz-e-pāk bāzī hairat mein lā rahe hain
Dil mil gayā hai dil se pahlu judā rahe hain
Wo dil se gham bhulā kar dil ko lubhā rahe hain
Guzre hue zamāne phir phir ke ā rahe hain
Seene mein zabt-e-gham se chhālā ubhar rahā hai
Sho'le ko band kar ke pānī banā rahe hain
Ma'nī na poochh zālim is uzr-e-be-gunah ke
Apne ko awwal de kar tujh ko bachā rahe hain
Aye be-khudī kahān hai jaldi mirī khabar le
Bhule the jo ba-mushkil phir yaad ā rahe hain
Len kaam zabt se kyā ulṭā hai dil ka phoṛā
Itnā ubhar rahā hai jitnā dabā rahe hain
Furqat mein sāz-e-rāhat sāmān-e-azāb kā hai
Ṭhanḍī hawā ke jhonke kyā jī jalā rahe hain
Hain husn ke karishme kyā inqalāb-āgīn
Gham-khwār jo the kal tak ab khār khā rahe hain
Khud un kī justujoo mein ham door bhāge warna
Wo kab alag rahe hain wo kab judā rahe hain
Le le ke ṭhanḍī sānsen pūchho na hāl dekho
Tum bhed kholte ho aur ham chhupā rahe hain
Dekh Aarzoo ye ronā shāna hilā hilā kar
Tu aaj khwāb mein hai aur wo jagā rahe hain