وہ جو چپ کی زبان رکھتا تھا
اور وفا پر ایمان رکھتا تھا
ساتھ مرے سفر میں چلتے ہوئے
واپسی کا سامان رکھتا تھا
وصل کے خواب دیکھتا تھا مگر
فاصلے درمیان رکھتا تھا
مجھ سے تنہائیوں کا طالب تھا
خود وہ سارا جہان رکھتا تھا
گھر کی تعمیر عمر بھر نہ ہوئی
ورنہ میں بھی مکان رکھتا تھا
رانا احمد شہید
Woh jo chup ki zabaan rakhta tha
Aur wafa par imaan rakhta tha
Saath mere safar mein chalte hue
Wapsi ka samaan rakhta tha
Wasl ke khwab dekhta tha magar
Fasle darmiyaan rakhta tha
Mujh se tanhaiyon ka talib tha
Khud woh sara jahan rakhta tha
Ghar ki taameer umar bhar na hui
Warna main bhi makan rakhta tha