ساحر لدھیانوی — شاعر کی تصویر

اہل دل اور بھی ہیں اہل وفا اور بھی ہیں — ساحر لدھیانوی

شاعر

تعارف شاعری

اہل دل اور بھی ہیں اہل وفا اور بھی ہیں

اہل دل اور بھی ہیں اہل وفا اور بھی ہیں
ایک ہم ہی نہیں دنیا سے خفا اور بھی ہیں
ہم پہ ہی ختم نہیں مسلک شوریدہ سری
چاک دل اور بھی ہیں چاک قبا اور بھی ہیں
کیا ہوا گر مرے یاروں کی زبانیں چپ ہیں
میرے شاہد مرے یاروں کے سوا اور بھی ہیں
سر سلامت ہے تو کیا سنگ ملامت کی کمی
جان باقی ہے تو پیکان قضا اور بھی ہیں
منصف شہر کی وحدت پہ نہ حرف آ جائے
لوگ کہتے ہیں کہ ارباب جفا اور بھی ہیں

Ahl-e-Dil Aur Bhi Hain Ahl-e-Wafa Aur Bhi Hain

Ahl-e-dil aur bhi hain ahl-e-wafa aur bhi hain
Ek hum hi nahin duniya se khafa aur bhi hain
Ham pe hi khatam nahin maslak-e-shoreeda-sari
Chak-e-dil aur bhi hain chak-e-qaba aur bhi hain
Kya hua gar mere yaaron ki zubanein chup hain
Mere shahid mere yaaron ke siwa aur bhi hain
Sar salamat hai to kya sang-e-malaamat ki kami
Jaan baqi hai to paikan-e-qaza aur bhi hain
Munsif-e-shehr ki wahdat pe na harf aa jaaye
Log kehte hain ke arbab-e-jafa aur bhi hain