ساحر لدھیانوی — شاعر کی تصویر

ہر چند مری قوت گفتار ہے محبوس — ساحر لدھیانوی

شاعر

تعارف شاعری

ہر چند مری قوت گفتار ہے محبوس

ہر چند مری قوت گفتار ہے محبوس
خاموش مگر طبع خود آرا نہیں ہوتی
معمورۂ احساس میں ہے حشر سا برپا
انسان کی تذلیل گوارا نہیں ہوتی
نالاں ہوں میں بیداریٔ احساس کے ہاتھوں
دنیا مرے افکار کی دنیا نہیں ہوتی
بیگانہ صفت جادۂ منزل سے گزر جا
ہر چیز سزاوار نظارہ نہیں ہوتی
فطرت کی مشیت بھی بڑی چیز ہے لیکن
فطرت کبھی بے بس کا سہارا نہیں ہوتی

Har chand mirī quvvat-e-guftār hai mahbūs

Har chand mirī quvvat-e-guftār hai mahbūs
Khāmosh magar tab'-e-khud-ārā nahīn hotī
Ma'mūrah-e-ehsās mein hai hashr sā barpā
Insān kī tazlīl gawārā nahīn hotī
Nālāñ hūñ maiñ bedārī-e-ehsās ke hāthoñ
Dunyā mire afkār kī dunyā nahīn hotī
Begānah-sifat jādah-e-manzil se guzar jā
Har chīz sazā-vār-e-nazzāra nahīn hotī
Fitrat kī mashiyyat bhī baṛī chīz hai lekin
Fitrat kabhī be-bas kā sahārā nahīn hotī