چلنے کا حوصلہ نہیں رکنا محال کر دیا
عشق کے اس سفر نے تو مجھ کو نڈھال کر دیا
اے مری گل زمیں تجھے چاہ تھی اک کتاب کی
اہل کتاب نے مگر کیا ترا حال کر دیا
ملتے ہوئے دلوں کے بیچ اور تھا فیصلہ کوئی
اس نے مگر بچھڑتے وقت اور سوال کر دیا
اب کے ہوا کے ساتھ ہے دامن یار منتظر
بانوئے شب کے ہاتھ میں رکھنا سنبھال کر دیا
ممکنہ فیصلوں میں ایک ہجر کا فیصلہ بھی تھا
ہم نے تو ایک بات کی اس نے کمال کر دیا
میرے لبوں پہ مہر تھی پر میرے شیشہ رو نے تو
شہر کے شہر کو مرا واقف حال کر دیا
چہرہ و نام ایک ساتھ آج نہ یاد آ سکے
وقت نے کس شبیہ کو خواب و خیال کر دیا
مدتوں بعد اس نے آج مجھ سے کوئی گلہ کیا
منصب دلبری پہ کیا مجھ کو بحال کر دیا
شاعر: پروین شاکر
آواز: حمایت اللہ
Chalne kā hausla nahīñ ruknā muhāl kar diyā
Ishq ke is safar ne toh mujh ko niḍhāl kar diyā
Ae mirī gul-zamīñ tujhe chāh thī ek kitāb kī
Ahl-e-kitāb ne magar kyā terā hāl kar diyā
Milte hue diloñ ke beech aur thā faisla koī
Us ne magar bichhaṛte vaqt aur savāl kar diyā
Ab ke havā ke sāth hai dāman-e-yār muntazir
Bānū-e-shab ke haath maiñ rakhnā sambhāl kar diyā
Mumkina faisaloñ maiñ ek hijr kā faisla bhī thā
Ham ne toh ek bāt kī us ne kamāl kar diyā
Mere laboñ pe mohar thī par mere shīsha-rū ne toh
Shehar ke shehar ko mirā vāqif-e-hāl kar diyā
Chehra-o-nām ek sāth aaj na yād aa sake
Vaqt ne kis shabīh ko ḳhvāb-o-ḳhayāl kar diyā
Muddaatoñ bād us ne aaj mujh se koī gila kiyā
Mansab-e-dilbarī pe kyā mujh ko bahāl kar diyā