حمایت اللہ — مقرر کی تصویر

تخت ہے اور کہانی ہے وہی — آواز: حمایت اللہ | شاعر: پروین شاکر

مقرر / سپیکر

تعارف انتخابِ کلام

تخت ہے اور کہانی ہے وہی

تخت ہے اور کہانی ہے وہی
اور سازش بھی پرانی ہے وہی
قاضی شہر نے قبلہ بدلہ
لیکن خطبے میں روانی ہے وہی
خیمہ کش اب کے ذرا دیکھ کے ہو
جس پہ پہرہ تھا ، یہ پانی ہے وہی
صلح کو فسخ کیا دل میں مگر
اب بھی پیغام زبانی ہے وہی
آج بھی چہرہ ء خورشید ہے زرد
آج بھی شام سہانی ہے وہی
بدلے جاتے ہیں یہاں روز طبیب
اور زخموں کی کہانی ہے وہی
حجلہ غم یونہی آراستہ ہے
دل کی پوشاک شہانی ہے وہی
شہر کا شہر یہاں ڈوب گیا
اور دریا کی روانی ہے وہی​

شاعر:

آواز:

Takht hai aur kahani hai wahi

Takht hai aur kahani hai wahi
Aur saazish bhi purani hai wahi
Qazi-e-shehr ne qibla badla
Lekin khutbe mein rawani hai wahi
Khaima kash ab ke zara dekh ke ho
Jis pe pehra tha, yeh paani hai wahi
Sulh ko faskh kiya dil mein magar
Ab bhi paigham zabani hai wahi
Aaj bhi chehra-e-khursheed hai zard
Aaj bhi sham suhani hai wahi
Badle jaate hain yahan roz tabeeb
Aur zakhmon ki kahani hai wahi
Hujla-e-gham yunhi aarasta hai
Dil ki poshaak shahani hai wahi
Shehr ka shehr yahan doob gaya
Aur dariya ki rawani hai wahi