اسد بدایونی — شاعر کی تصویر

چمک رہا ہے مرا سر بھی میں بھی دنیا بھی — اسد بدایونی

شاعر

تعارف شاعری

چمک رہا ہے مرا سر بھی میں بھی دنیا بھی

چمک رہا ہے مرا سر بھی میں بھی دنیا بھی
اک آئینہ ہے سمندر بھی میں بھی دنیا بھی
کھلا کہ ایک ہی رشتے میں منسلک ہیں تمام
یہ میرا سر بھی یہ پتھر بھی میں بھی دنیا بھی
کسی گناہ کی پاداش میں ہیں سب زندہ
مرے شجر مرے منظر بھی میں بھی دنیا بھی
اتر رہے ہیں سبھی اک نشیب کی جانب
بلندیوں سے یہ پتھر بھی میں بھی دنیا بھی
خبر کسی کو کسی کی نہیں یہاں لیکن
ہوا کی زد پہ گل تر بھی میں بھی دنیا بھی

Chamak raha hai mera sar bhi main bhi duniya bhi

Chamak raha hai mera sar bhi main bhi duniya bhi
Ek aaina hai samundar bhi main bhi duniya bhi
Khula ke ek hi rishte mein munsalik hain tamam
Yeh mera sar bhi yeh patthar bhi main bhi duniya bhi
Kisi gunah ki padash mein hain sab zinda
Mere shajar mere manzar bhi main bhi duniya bhi
Utar rahe hain sabhi ek nasheb ki jaanib
Bulandiyon se yeh patthar bhi main bhi duniya bhi
Khabar kisi ko kisi ki nahin yahan lekin
Hawa ki zad pe gul-e-tar bhi main bhi duniya bhi