گاؤں کی آنکھ سے بستی کی نظر سے دیکھا
ایک ہی رنگ ہے دنیا کو جدھر سے دیکھا
ہم سے اے حسن ادا کب ترا حق ہو پایا
آنکھ بھر تجھ کو بزرگوں کے نہ ڈر سے دیکھا
اپنی بانہوں کی طرح مجھ کو لگیں سب شاخیں
چاند الجھا ہوا جس رات شجر سے دیکھا
ہم کسی جنگ میں شامل نہ ہوئے بس ہم نے
ہر تماشے کو فقط راہ گزر سے دیکھا
ہر چمکتے ہوئے منظر سے رہے ہم ناراض
سارے چہروں کو سدا دیدۂ تر سے دیکھا
پھول سے بچوں کے شانوں پہ تھے بھاری بستے
ہم نے اسکول کو دشمن کی نظر سے دیکھا
Gāñv kī āñkh se bastī kī nazar se dekhā
Ek hī rañg hai duniyā ko jidhar se dekhā
Ham se ai husn-e-adā kab tirā haq ho paayā
Āñkh bhar tujh ko buzurgon ke na Dar se dekhā
Apnī bāñhoñ kī tarah mujh ko lagīñ sab shāḳheñ
Chāñd uljhā huā jis raat shajar se dekhā
Ham kisī jañg meñ shāmil na hue bas ham ne
Har tamāshe ko faqat rāh-guzar se dekhā
Har chamakte hue manzar se rahe ham nārāz
Saare chehroñ ko sadā dīda-e-tar se dekhā
Phuul se bachchoñ ke shānoñ pe the bhārī baste
Ham ne iskūl ko dushman kī nazar se dekhā