اسد بدایونی — شاعر کی تصویر

ہوا ہوس کے علاقے دکھا رہی ہے مجھے — اسد بدایونی

شاعر

تعارف شاعری

ہوا ہوس کے علاقے دکھا رہی ہے مجھے

ہوا ہوس کے علاقے دکھا رہی ہے مجھے
گل گنہ کی مہک پھر بلا رہی ہے مجھے
ابھی نہ جاؤں گا میں دوسرے ستارے پر
کہ یہ زمین ابھی راس آ رہی ہے مجھے
چراغ بھی مرا چہرہ ہے شب بھی میرا جسم
تو پھر یہ خلق خدا کیوں جلا رہی ہے مجھے
سمجھ میں کچھ نہیں آتا کہ یہ ہوائے وجود
جلا رہی ہے مجھے یا بجھا رہی ہے مجھے
گیاہ عشق بھی میری گل ہوس بھی مرے
تو کیوں زمین تماشہ بنا رہی ہے مجھے

Hawa hawas ke ilaqe dikha rahi hai mujhe

Hawa hawas ke ilaqe dikha rahi hai mujhe
Gul-e-gunah ki mehak phir bula rahi hai mujhe
Abhi na jaunga main dusre sitare par
Ke yeh zameen abhi raas aa rahi hai mujhe
Charagh bhi mera chehra hai shab bhi mera jism
To phir yeh khalq-e-khuda kyun jala rahi hai mujhe
Samajh mein kuch nahin aata ke yeh hawa-e-wajood
Jala rahi hai mujhe ya bujha rahi hai mujhe
Giyah-e-ishq bhi meri gul-e-hawas bhi mere
To kyun zameen tamasha bana rahi hai mujhe