جس کو ہونا ہے وہ ان آنکھوں سے اوجھل ہو جائے
اس سے پہلے کہ مرا کام مکمل ہو جائے
میں تو بس دیکھتا رہتا ہوں زمینوں کے کٹاؤ
آدمی سوچنے والا ہو تو پاگل ہو جائے
کہیں ایسا نہ ہو ویرانے ہوں پھر سے آباد
کہیں ایسا نہ ہو ہر شہر ہی جنگل ہو جائے
یہ زمیں جس پہ ہے گلزاروں کی تعداد بہت
یہ بھی ہو سکتا ہے کل کو وہی مقتل ہو جائے
ریگ زاروں سے بخارات ہی اٹھتے ہیں مگر
کون جانے کہ یہ گرمی کوئی بادل ہو جائے
میرا پندار ہی دیوار ہے ناکامی کی
یہ جو گر جائے تو ہر خواب مکمل ہو جائے
Jis ko honā hai vo in āñkhoñ se ojhal ho jaa.e
Us se pahle ki mirā kaam mukammal ho jaa.e
Maiñ to bas dekhtā rahtā huuñ zamīnoñ ke kaṭāo
Ādamī sochne vaalā ho to pāgal ho jaa.e
Kahīñ aisā na ho vīrāne hoñ phir se ābād
Kahīñ aisā na ho har shahar hī jañgal ho jaa.e
Ye zamīñ jis pe hai gulzāroñ kī ta'dād bahut
Ye bhī ho saktā hai kal ko vahī maqtal ho jaa.e
Regzāroñ se buḳhārāt hī uṭhte haiñ magar
Kaun jaane ki ye garmī koī bādal ho jaa.e
Merā pindār hī dīvār hai nākāmī kī
Ye jo gir jaa.e to har ḳhvāb mukammal ho jaa.e