سچ بول کے بچنے کی روایت نہیں کوئی
اور مجھ کو شہادت کی ضرورت نہیں کوئی
میں رزق کی آواز پہ لبیک کہوں گا
ہاں مجھ کو زمینوں سے محبت نہیں کوئی
میرے بھی کئی خواب تھے میرے بھی کئی عزم
حالات سے انکار کی صورت نہیں کوئی
میں جس کے لیے سارے زمانے سے خفا تھا
اب یوں ہے کہ اس نام سے نسبت نہیں کوئی
لہجہ ہے مرا تلخ مرے وار ہیں بھرپور
لیکن میرے سینے میں کدورت نہیں کوئی
Sach bol ke bachne ki riwayat nahin koi
Aur mujh ko shahaadat ki zaroorat nahin koi
Main rizq ki awaaz pe labbaik kahunga
Haan mujh ko zameenon se mohabbat nahin koi
Mere bhi kai khwaab the mere bhi kai azm
Haalaat se inkaar ki soorat nahin koi
Main jis ke liye saare zamaane se khafa tha
Ab yoon hai ke us naam se nisbat nahin koi
Lehja hai mera talkh mere waar hain bharpoor
Lekin mere seene mein kudurat nahin koi