سیل گریہ کا سینے سے رشتہ بہت
یعنی ہیں اس خرابے میں دریا بہت
میں نے اس نام سے شام رنگین کی
میں نے اس کے حوالے سے سوچا بہت
دیکھنے کے لیے سارا عالم بھی کم
چاہنے کے لیے ایک چہرا بہت
اس سے آگے تو بس خواب ہی خواب تھے
میں نے اس کو مجھے اس نے دیکھا بہت
میں بھی الجھا ہوں منظر کے نیرنگ سے
میرے پیروں سے لپٹی ہے دنیا بہت
رفتگاں کے قدم جیسے آہو کا رم
جانے والوں کو رستوں نے روکا بہت
جنگجو معرکوں میں ہوئے سرخ رو
بستیاں بین کرتی ہیں تنہا بہت
Sail-e-girya kā sīne se rishta bahut
Ya'nī haiñ is ḳharābe meñ dariyā bahut
Maiñ ne us nām se shām rañgīn kī
Maiñ ne us ke havāle se sochā bahut
Dekhne ke liye sārā ālam bhī kam
Chāhne ke liye ek chehrā bahut
Us se aage to bas ḳhvāb hī ḳhvāb the
Maiñ ne us ko mujhe us ne dekhā bahut
Maiñ bhī uljhā huuñ manzar ke nairañg se
Mere pairon se lipṭī hai duniyā bahut
Raftagāñ ke qadam jaise āhū kā ram
Jaane vāloñ ko rastoñ ne rokā bahut
Jaṅgjū ma'arkon meñ hue surḳh-rū
Bastiyāñ bain kartī hain tanhā bahut